Wednesday, June 9, 2010

urdu poetry part 243


Gulshan me dil ke phool mahekte thay har ghadi..
Ab jisko tumne dard ka sehra bana diya..

SHAYIR:
JAWWAD HASAN,
Bangalore.





Baya'n karta nahi hun haal-e-dill ye soch kar apna..
Mere apne bhi shamil thay mere ghar ko jalane me..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI





Muddat huwi hai sheesha-o-saghar ko tod kar..
Aankho'n se koyi May jo pilaye toh kya karu'n ???

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI.





SABA ek jau ki roti hi mere hisse me kafi hai..
Kamayi ho jo mehnat ki toh barkat kam nahi hoti..

SHAYIR:
SABA DARBHANGVI.





Karbala walo'n se milta hai yahi dars hame'n.
Sar kata do kabhi zalim se daya mat maango.

SHAYIR:
IQBAL AKRAM WARISI,
(U.P.)





Kasak dil ki nigaho'n se huweda hone lagti hai.
Tumhare gham ki ab mujh se hifazat ho nahi sakti.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN





Bol mat yu'n Ay papihe dard me dooba hai dil..
Tu agar pi pi karega woh mujhe yaad aayenge..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)



Bol mat yu'n Ay papihe dard me dooba hai dil..
Tu agar pi pi karega woh mujhe yaad aayenge..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)





Mere hamdard na de mujh ko dilase paiham..
Warna palko'n pe koyi ashk bhi aa sakta hai..

SHAYIR:
VASI ALAVI, Aligarh.
(U.P.)