Friday, December 17, 2010

urdu poetry part 368

Khair ho Ya'allah Mohabbat walo'n ki..
Chhat par meri zakhmi kabutar aaya hai..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.


Jaan de kar bhi na haq ham se ada ho paya.
Log asaan samajhte hain Mohabbat karna.

SHAYIR:
WASIM MALIK, Surat.
(Gujarat)


Basa rakkhi hai nas nas me usi ki saans ki khushbu..
Koyi meri Mohabbat ka zara diwana-pan dekhe..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM.


Har ek seene me rehta hai dhadakta dil magar RAJNI..
Mohabbat jaisi komal cheez har dil me nahi rehti..

(RAJNI SHAH)

Hame'n tum se Mohabbat hai Tumhe ham se Mohabbat hai.
Hamare beech me phir kyun zamana aa gaya KHUSHBU.

(KUSUM KHUSHBU)

Kuchh log Mohabbat me is tarha bhi rote hain..
Palkaw pe kabhi jinke aansu nahi hote hain..

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI.


Ye apne apne muqaddar ka khel hai yaaro..
Kisi kisi ko Mohabbat naseeb hoti hai..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
(Kolkata)

Zard mosam ne Mohabbat ka gala ghont diya..
Ab kisi phool pe titli nahi aaya karti.

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)


Woh mohabbat bhi bahut karta hai ghussa bhi bahut.
Jaane is turfa tabi'at me chhupa hai kya kya.


(Dr. Virottama Sargam)

Dunya-e-mohabbat me kuchh bhi na raha apna.
Ye jaan bhi tumhari hai ye dil bhi tumhara hai.

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM