Saturday, December 18, 2010

urdu poetry part 369

Ajeeb lutf hai SARGAM gham-e-mohabbat me..
Ye dard woh hai bahut kam naseeb hota hai..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.


Mohabbat kar ke ruswayi se darna bhi hai ruswayi..
Mohabbat ka hamesha dahr me charcha bhi hota hai..

(FAIYAZ SHAKEEB)



Har Qadam par Thokare'n Nakamiya'n Ruswayiya'n..
Kya Mohabbat karne walo'n ka yahi anjaam hai ???

SHAYIR:
SYED BHATKALI.



Ghayib kaha'n Lughat se Mohabbat ki ho gaya..
Aata nahi nazar kahein lafz-e-wafa mujhe..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.





Dekhte hain woh Mohabbat ki nazar se lekin..
Sab ki masoom nazar ho ye zaroori toh nahi..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
(Kolkata)



Mai ne maangi thi Mohabbat mil gayi'n Ruswayiya'n..
Raat din dasti hain Nagin ban ke ab tanhayiya'n..

(NOURIN MAHEK)



Yarab tu uske dil me mera pyar daal de..
Ya mere dil se uski Mohabbat nikaal de..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.



Ham apne ashko'n pe Qabu jo pa gaye hote.
Hamara dard-e-mohabbat na yu'n aya'n hota.

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
(Bangalore)



Mohabbat me hamesha chounkte hai muntazir reh kar..
Har ek aahat pe darwaza woh utth kar dekhti hogi..


(SHAMEEM HAYAT)



Ye sach hai k mai uski mohabbat ka hun talib.
Woh bhi ho talabgaar zaroori toh nahi hai.

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi.



Banjar hai zami'n dil ki zarkhez toh hone do.
Khushbu-e-mohabbat ke ham phool khila denge.

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif