Tuesday, June 1, 2010

urdu poetry part 220

Kisi bewafa k khatir kabhi ashk mat bahawo.
'Jo tumhe bhula chuka hai usay tum bhi bhool jawo.'

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Kabhi dil me Ay mere yaar tu kisi bewafa ko na de jaga.
'Jo tujhe mila use yaad rakh jo nahi mila use bhool ja.'

IBN-E-HASAN







Tumhare waaste dunya se lad sakta hun mai lekin..
Tumhara Haat mere Haat me hona zaroori hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Tum se sundar tum se pyara,
Chanda hai na koyi tara..
Aa jawo sab rah take hain,
Japte hai sab naam tumhara..

-SHAMEEM HAYAT







Mujhse tujhe dunya ne chheena,Ho gaya mushkil hijr me jeena.
Ab to mera kaam yahi hai,Gham khana aur aansu peena

IBN-E-HASAN




Hamein zalim zamane ne kiya hai door to lekin.
Mujhe ummeed hai Allah hamein phir se mila dega.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Aasaan samajhte ho agar mujh ko bhulana..
Kehte ho bhulane ko bhula kyun nahi dete..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore







Masoom nazar ka bholapan ye dil diwana kya jaane..
Jo khud nishana bante hain woh Teer chalana kya jaane....







Tujhe keh diya sitamgar ye qusoor tha zaban ka..
Mujhe tum maaf karna mera dil bura nahi hai..

START GHAZAL4U
to
09223050606







Diya jab usko dil apna khula ye raaz tab mujh par.
Woh Zalim hai Sitamgar hai Ghazab dhane me mahir hai.

-SHABNAM Bhatkali

urdu poetry part 219

Log mansoob tere naam se karte hain mujhe..
Naam tera mere maathe pe likha ho jaise..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali




Nahi jaanti hai mera naam O,
Magar bhej deti hai paigham O.
Mohabbat ke Message mujhe bhej kar,
Mera chheen leti hai araam O.







Meri dunya ujadne wale,Mujhko tadpa k kya mila tumko.
Pyar krna to koi jurm nahi,Mujhse akhir hai kya gila tumko.

IBNE HASAN







Sadak Chhap Aashiqau Ke Naam:

"Muskura kar dekh lene se koyi Pat'tha nahi..
Pagalau ko dekh kar b muskura letay hain log..







Kisi ko bewafa kehne se pehle dekh lo BISMIL..
Najane kis bina par usne tum se bewafayi ki..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali (Goa)







Aaj b jiski kasak pehro rulati hai mujhe.
Mujh se O beete dinau ki baat mat poochha karo.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar







Tadapne k siwa Aashiq ko ulfat me mila kya hai.
Mohabbat mat karo yaaro, mohabbat me bhi dhoka hai.

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Hamari bhool thi hum zehr ko yaaro dawa samjhe..
Usi ne bewafayi ki jisay hum Bawafa samjhe..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Mohabbat me hamesha chounkte hai muntazir reh kar.
Har ek aahat pe darwaza woh utth kar dekhti hogi.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT







Bidayi ka kisi ki jab wo manzar dekhti hogi.
Mujhe Dulhe ke sehre me woh aksar dekhti hogi.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore

urdu poetry part 218

Tere liye toh jaan bhi hazir hai Ae sanam..
Ek bar dekh pyar se mujh ko pukaar ke..

SHAYIRAH:
NUZHAT Amrohi







Nazdeek aa k yu mere ghayib huwi hai woh..
Insaan nahi hai goya UDAN TASHTARI hai woh..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Tum door sahi,Majboor sahi,Par dil se hamare door nahi.
Bachpan ki mohabbat aaj talak zinda hai hamare seene me.

IBN-E-HASAN







Jo keh na sake hum aaj talak,Lo aaj bataye dete hain.
Aashiq hai hamare Lakh magar,Hum pyar tumhi se karte hain.

IBN-E-HASAN







Jab b chahat ka izhar mai ne kiya,Mujhe nafratau k andhere mile.
Muqaddar me mere mohabat na thi,Mujhe ansuwo k jazeere mile.




Mohabbat ka nahi koyi ta'alluq shakl-o-soorat se..
Mila deta hai dil se dil ko Allah apni Qudrat se..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN







Kisi Ashiq se poochho Lazzate Aah-O-Buka kya hai.
Tadapna gar na ho ulfat me ulfat ka maza kya hai.

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali







Jafa jo ishq me hoti hai O jafa hi nahi.
Sitam na ho to mohabat me kuch maza hi nahi.

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Lagta hai k mai tere muqaddar me nahi hun...
Chhup chhup ke meri yaad me aansu na baha tu...

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Shayed nahi manzoor milan apna khuda ko...
Tujh se hai guzarish meri ab mujh ko bhula tu...

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali

urdu poetry part 217

Mismar mohabbat ki imarat nahi karte..
Hum woh hain dikhawe ki mohabbat nahi karte..

SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata...







Yarab tu uske dil me mera pyar daal day..
Ya mere dil se uski mohabbat nikaal day..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Sangdil mujh ko tu patthar na samajhna hargiz..
Mom hun mai teri chahat me pigal sakti hun.

SHAYIRAH:
Khushboo sharma




Bura na mano toh mai tum se ek baat kahun.
Mujhe tumhari zaroorat hai zindagi keliye.

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Kisi ki mast nigaho me doob jao tum..
Bada haseen samandar hai khud kushi keliye..

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Hum ne toh dil se dard ki daulat kharid li..
Hum kar chuke hain pyar tumhe pyar ho na ho.

SHAYIRAH:
Noori parveen







Dil ka har ek gosha hai weeran tere baghair..
Chehre se mere dard ka izhar ho na ho..

SHAYIRAH:
NOORI PARVEEN







Marne keliye tujh pe ye insaan hai hazir..
Dil cheez hai kya tere liye jaan hai hazir..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Gar usko apne husn pe itna ghuroor hai..
Toh phir mujhe bhi apni jawani pe naaz hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Tere liye toh jaan bhi hazir hai Ae sanam..
Ek bar dekh pyar se mujh ko pukaar ke....


SHAYIRAH:
NUZHAT Amrohi








urdu poetry part 216

Mujhe aisi ummeed tum se nahi thi..
K tum pher loge nazar dheere dheere..

(Plz persuade ur dear ones to activate GHAZAL4U)







Yaaro ye koyi khel ka maidan nahi hai..
Kehte hai jisay ishq woh aasan nahi hai..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali....







Inkar bhi karte hain wo mujh se mohabbat ka.
Takye me magar meri tasweer bhi rakhte hain.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar







Ek bar mohabbat me jo kha jaate hain dhoka..
Phir dil woh lagane ki jasarat nahi karte..

SHAYIR:
SHAUKAT ALI, DELHI..







Jo log mohabbat ko samajhte hain ibadat..
Woh log mohabbat ki tijarat nahi karte..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...







Jo log mohabbat ko samajhte hain ibadat..
Woh log mohabbat ki tijarat nahi karte..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...







Dil de bhi diya tum ko bharosa bhi kiya hai,
Sunte hai yahi aap khiyanat nahi karte.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar U.P.









Zehno me panapti hai Hawas jinke mere dost..
Kuchh aur woh karte hain Mohabbat nahi karte..

SHAYIR:
BISMIL bhatkali...







Kaise kahu nasaaz tabi'at hai k tum toh..
Bimar-e-mohabbat ki iyadat nahi karte..


SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali....

urdu poetry part 215

Ab aa bhi jao laut ke dil beqarar hai..
Ankhein taras rahi hai teri deed keliye..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal....




Ab aa bhi jao laut ke dil beqarar hai..
Ankhein taras rahi hai teri deed keliye..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal....







Kaha ek ashiq-e-nakam ne kal kaan me mere..
Agar rehna hai khush tum ko kisi se pyar mat karna..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Meri mushkilau me jo saath day,
Mujhe us bashar ki talash hai..
Mere saath koyi nahi abhi,
Mujhe Hamsafar ki talash hai..









Honto pe toh khushi ki ramaq dekhte hain log..
Kis se kahun k dil mera andar udaas hai..

SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata..







Hum ne toh uske zulm ka shikwah nahi kiya..
Kya baat hai k aaj sitamgar udaas hai..

SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata...







Khud tumhari hi nazar tum ko na lag jaye kahein...
Ban sanwar kar aayine k saamne mat jayiye...

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Ghar tera khaash mere Ghar ko hi lag kar hota..
Tu na aati teri awaaz toh aati mujh ko..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal







Khata hai Husn ki tere Qusoor apna nahi koyi.
Nazar toh khud hi uthti hai koyi dekha nahi karta.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal







GHAZAL4U me padhne ko milenge Sher aise bhi.
Jinhe padh kar tumhara dil b ho sakta hai beqabu.

START GHAZAL4U
to
09223050606

urdu poetry part 214

Yahi toh soch kar rota hun mai apne muqaddar par..
Nahi basti hain kyun is dil me sundar ladkiyan yaaro..

-SHABNAM Bhatkali







Tere labo pe mera naam toh nahi lekin..
Teri nazar ko mera intzaar hai k nahi..

SHAYIR:
Ghouse Peer HAMDARD
Davangere.







Tumhare dil me basa mera pyar hai k nahi..
Mere khayal me dil Beqarar hai k nahi..

SHAYIR:
Ghouse Peer HAMDARD
Davangere.







Na mila hai na milega mujhe araam kahein,
Mai musafir hun meri subh kahein shaam kahein.

sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Mai lautne k irade se ja raha hun magar,
Safar safar hai mera intzar mat karna.
*
Plz persuade ur friends 2 activate GHAZAL4U







Tum ne tobah to kar liya lekin,
Q dubara gunah karte ho.
Pehle tobah phir uske baad gunah,
Umr yunhi tabah karte ho.
-HAMDARD







Khol se apne nikal chehrau ko padhna seekh le..
Ajnabi logo me tujh ko aashna mil jayega.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar







Hoti ummeede deed-e-yaar to hum,Us gali se guzar gaye hote.
Gar nazar hum pe apki hoti,Umr bhar tumpe mar gaye hote.

HAMDARD

urdu poetry part 213

Guzarta hun gali se uski k didaar ho jaye..
Khuli hoti hai jab bhi uske ghar ki khidkiyaa yaaro..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Hawa mere dariche me kuchh aise sarsarati hai,
Mai tera hun tu meri hai yahi aawaz aati hai.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore







Mai najane kisliye karta hun uska intzaar..
Zindagi me jisko mai ne aaj tak dekha nahi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal







Jis taraf utth gayi nazar meri,Shaam b ban gayi sehar meri.
Aap chhup jaye lakh pardo me,Dhoond legi magar nazar meri.

-RAHI







Kehne ko toh kehte hain k mar jayenge lekin..
'Marta nahi dunya me koyi hijr k gham se..'

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.







Tu b awrau sa matlabi nikla,
Door ja kar bhula diya mujhko.
Teri dunya sanwaar di mai ne,
Aur tu ne mita diya mujh ko.
BISMIL







Haseeno ko ijazat hai k woh aa kar rahe isme..
Khula rakkha hai unke waaste dil ka makaan yaaro..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali






urdu poetry part 212

Woh khelti thi dosto Bachpan me mere saath..
Ab haal ye hai Mujh se hi sharma rahi hai woh..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.







Ek umr huwi hai k tarasti hain ye aankhein..
Aankho ki mere pyas bhujane keliye aa..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam.. HUBLI







Le Le ke tera naam jalata hai zamana..
Ek bar zamane ko jalane keliye aa..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
Shimla nagar Hubli.







Khud par pehre lakh bitha le Lakh rahe tu parday me.
Sagar jaisi aankho wale mai tujh ko pehchan gaya.

SHAYIR:
Shameem Hayat







Lag jaaye aap ko na kisi ki nazar kahein..
Ghar ja ke apne husn ka sadqa utariye..

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Shakl apni bhi zara dekhle behtar hoga..
Aayina mujh ko jafawo ka dikhane wale..

SHAYIRAH:
ISHA NAAZ, PUNJAB....







Hamari zaat hi mumkin hai teri Manzil ho..
Kabhi toh apne kadam b utha hamari taraf..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
HUBLI







Gham-e-hayat pe Rang-e-suroor chha jaaye..
Zara sa Dast-e-hinayi badha hamari taraf..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam, HUBLI.







Tumhari yaad ne ab tak bacha ke rakkha hai..
Tumhari yaad na hoti toh mar gaye hote..

SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata..







'Lakh koshish ki tujhe dil se bhulane ki magar.'
Phir bhi is dil se teri yaad bhulayi na gayi.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali

urdu poetry part 211

Ruth ko bhi badalne me chaar maah lagte hain.
Aadami magar BISMIL daf'atan badalta hai.

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI,
(Karnataka)







Jis jaga hoti hai daulat ki parastish yaaro..
Bhool kar bhi na waha'n Beti ka rishta karna..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.







Apni dunya-e-sukhan me ye ada rakhta hun.
Apne Ash'aar ko auro'n se juda rakhta hun.

SHAYIR:
A.KHALIQ ANEES,
Jamia Abad. Bkl







Gehrayiya'n jazbaat ki naapi nahi jaati..
Ikhlaas ko meezan me tola nahi karte..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Akola. (Maharashtra)







Milenge senkdo'n tum ko jaha'n me chahne waale..
Magar MAA ki tarah koyi mohabbat kar nahi sakta..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN







Hame'n barbaad karne me thay apne bhi paraye bhi..
Sabab lutne ka aakhir ham bhala kis se baya'n karte..

SHAYIR:
NAZEER RAHI







Kya jaanye paa kar usay kya haal ho iska..
Dil soch ke jis shakhs ko betaab lage hai..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)







Kya jaanye paa kar usay kya haal ho iska..
Dil soch ke jis shakhs ko betaab lage hai..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)







Zulm seh kar bhi musalsal aah tak karta nahi..
Puchhte hain log mujh se be-zaba'n ye kaun hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.







Unka khayal Zeest ka gham Fikr-e-rozgaar..
2 din ki zindagani me kya kya kare koyi..

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.