Thursday, May 20, 2010

urdu poetry part 70

Teri yaado'n k baadal ka ye adna sa karishma hai.
Ghata gham ki jo uthti hai suhani hoti jaati hai.

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI





Khud raasta banata hun manzil ke waaste..
Daman kisi ka thaam ke chalta nahi hun mai..

SHAYIR:
EHSAN Mukarrampuri...







Bazahir ye jo nasheman hai chand tinko ka..
Mahal hai asl me mere haseen sapno ka..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.





Uski aankho'n se gire honge tadap kar aansu..
Ho ke majboor mera khat jo jalaya hoga..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD DEOBANDI (U.P.)







Haqeeqat ishq ki kya hai na puchho ghaao hai dil par..
Musalsal bas nazar aati hai ek aazaar ki soorat..
-
SIBTAIN PARWANA







Tere liye toh jaan bhi hazir hai Ae sanam..
Ek bar dekh pyar se mujh ko pukaar ke..

SHAYIRAH:
NUZHAT Amrohi...
-- -- -- --







Naam rakkha hai MAHEK soch samajh kar mai ne.. Dekh sakta nahi koyi na koyi chhu sakta..
-- -- --
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK







Fikr suljhe toh phool hoti hai,
Warna khar-e-babool hoti hai..
Dard shamil na ho agar GOUHAR,
Sher-goyi fuzool hoti hai..







Inkaar bhi karte hain woh mujh se mohabbat ka..
Takye me magar meri tasweer bhi rakhte hain..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)







Chalo Ab aa bhi jaao mai bahut bechain hun tum bin..
Shab-e-furqat ka har lamha sadi maloom hota hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN

urdu poetry part 69

Woh log chehro'n pe jinke hai gard dunya ki.
Dikha rahe hain haqeeqat ka aayina mujh ko.

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.







Saare safar me Maa ki dua saath saath thi..
Mai door hi raha hun har ek iztirab se..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.





Mai bhi jo bacha lunga tere dard se daman..
Aankho'n ko teri yaad me nam kaun karega..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi.







Chand lamhe kya teri palkaw k saaye me chale.
Phir kabhi sholau pe chalne me na dushwari huwi.

SHAYIR:
INTIZAR NAYEEM,
DELHI







Bewafa se bhi wafa hi keejye ye soch kar..
Is jaha'n me dardmandi ka sila deta hai kaun..

SHAYIR:
MAZHAR Chickmagaluri.





Teri yaado'n k baadal ka ye adna sa karishma hai.
Ghata gham ki jo uthti hai suhani hoti jaati hai.

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI







Murjha gayi thi mai toh sanam tere hijr me...
Aane se laut kar tere
tan-man MAHEK utha...

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK....





Ishq ki raah me dil par jo lage hain charke..
Ghair mumkin hai k is dard ka darma'n hona..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD







Ehsaan kisi ne bhi aise na kiya hoga..
Mazdoor ki beti ka sauda hi huwa hoga..

SHAYIR:
SABA DARBHANGVI,
Darbhanga, Bihar.







Qaid haatho ki lakeero me batate hain naseeb.
Haath jinke nahi phir unka muqaddar hai kaha'n ???

SHAYIRAH:
Dr. Virottama

urdu poetry part 68

Tujh ko bhulane keliye nikle thay ham magar..
Yaade'n bhi saath chalti rahi ham jidhar gaye..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..





Un kunwari Ladkiyo'n ka dard bhi samjho zara..
Ghar me jo baithi huwi hain hasrato'n ko maar ke..

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI.





Dil ye teri hasrat me pareshan bahut hai..
Us par teri ghaflat pe ye hairan bahut hai..

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.





Waqt ruk jata hai saanse'n rok leti hain fiza..
Chalte chalte raah me jab bhi taher jaate ho tum..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT





Begunahi ka adalat me na ailan karo..
Jurm sabit na huwa bhi toh saza milti hai..

SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore...





Nigaho se nigahe'n tu mila kar dekh le meri..
Utar jawungi mai dil me tere aankho'n ke raste se..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK





Bechain kar diya usay bachcho'n ki bhook ne..
Iflaas me buzurgo'n ki dastaar bech di..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.







Tarke me jo mili thi woh talwar bech di..
Ek baghba'n ne dekhye mahkaar bech di..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.







Qatil tha mera usne mujhe ye sila diya..
Mere lahu ko naam bhi rang-e-hina diya..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal (M.P.)





Ban kar woh SHER phirta hai dunya ke saamne.
CHOOHA hai aage Biwi ke har Pehlawan bhi.

SHAYIR:
RAHAT HARARAT,
Ambur.

urdu poetry part 67

Gar chaman abaad hai toh sab ke sab haqdaar hain..
Gulsita'n ujde toh usko phir sajata kaun hai..

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI





Talwar se Khanjar se na Teer-o-kamaan se.
Dunya ke dil ko jeetye meethi zabaan se.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam,
Bangalore







Har taraf se mujh pe hamle ho rahe hain aaj kal.
Jaane mai kab ho gaya SADDAM tere pyar me.

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore







Ab bhi ye ummeed hai tu laut kar aa jayega.
Shaam hote hi dariche me diya rakhta hun mai.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
(U.P.)





Tumhare naam ko mahendi se likh likh kar ****li par.
Dil-e-nadaan ko jhooti tasalli de rahi hun mai.

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK







Kuchh aise rang dikhaye gham-e-jaha'n ne hame'n.
Dilo'n se pyar ka sara khumar jata raha.

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
(BHOPAL)





Mahek kirdaar se tere agar aaye toh behter hai..
Faqat phoolo'n se daman ko saja kar kuchh nahi milta..

(SHAMEEM KIRATPURI)







Odh kar chehre pe apne muskurahat ki rida..
Phir raha hun mai hawadis ke nagar me aaj kal..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...





Najane khwahishe'n kitni woh paale baitha hai.
Jo apni marzi se ek saans bhar nahi sakta.

SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi





Rehta hun us ke waaste bechain jaane kyun..
Jis ne mera mizaaj bhi puchha nahi kabhi..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
(Shamli)

urdu poetry part 66

Hairat ki baat ye hai usi ne ki khudkushi.
Kal tak jo keh raha tha k himmat na haarna.

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
(Karnataka)







Jaane kya baat hai kuchh din se meri aankho'n me...
Neend aati hai magar khwab nahi aate hain...

SHAYIR:
NAZIM ASHRAF.







Jaane kya baat hai kuchh din se meri aankho'n me...
Neend aati hai magar khwab nahi aate hain...

SHAYIR:
NAZIM ASHRAF.





Jaane kya baat hai kuchh din se meri aankho'n me...
Neend aati hai magar khwab nahi aate hain...

SHAYIR:
NAZIM ASHRAF.





Meri aankho'n ne jawani me budhapa dekha..
Ahd-e-tifli me khilono'n se baghawat kar ke..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.





Khuda tujhe bhi kahein apne dar se taal na de..
Ay apne dar se sawali ko taalne waale..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)





Gar chaman abaad hai toh sab ke sab haqdaar hain..
Gulsita'n ujde toh usko phir sajata kaun hai..

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI





Sirf ek baar tasauwur me woh aaye thay mere..
Umr bhar jism mahekta raha sandal ki tarah..

SHAYIR:
IMRAN RAQIM,
Kolkata.





Tumhare naam ko mahendi se likh likh kar ****li par.
Dil-e-nadaan ko jhooti tasalli de rahi hun mai.

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK