Saturday, May 22, 2010

urdu poetry part 95

Jhoota Zaleel Chor Uchakka Fareb-kaar..
Sab kuchh toh ho gaya hai Namazi na ho saka..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT Muzaffar nagari.







Parda jo pad gaya hai zamane ki aql par.
Be-Pardagi ko aaj haya keh rahe hain log.

SHAYIR:
ALLAH BAKHSH NOORI,
Chennai.







Abhi talak hai woh manzar meri nigaaho me..
Tumhare dast-e-hinayi se jaam bharne ka..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam, Hubli.







Jo doosro'n ke waaste wajh-e-malaal ho..
Aisi khushi kabhi bhi manaya na keejye..

SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI, Bhatkal.







Aao jo iyadat ko kuchh dair taher jana..
Bimar-e-mohabbat ko aanchal ki hawa dena..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore..







Raag hota tu agar mai teri Sargam hoti.
Saari dunya hame'n ek saath hi gaya karti.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam,
Bangalore







Basa rakkhi hai nas nas me usi ki saans ki khushbu..
Koyi meri mohabbat ka zara diwana-pan dekhe..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM





Jab bhi padti hai zaroorat ham huwe seena-sipar,
Ham Lahu kya sar bhi dete hain watan ke waaste.

SHAYIR:
JAWWAD HASAN JAWWAD




Zindagi ne diya kam Liya hai bahut..
Khoon sadiyo'n ne mera piya hai bahut..

SHAYIR:
Ramachandra
"RAJ PREMI"
Bangalore.







Baithne deejye Mekhwar ko wayiz ke qareeb..
Sohbato'n se bhi khayalaat badal jaate hain..

SHAYIR:
Dr. Fitrat bhatkali.








urdu poetry part 94

Thokar lagi toh usko zameen yaad aa gayi..
Baate'n jo kar raha tha bahut asmaan se..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi. (U.P.)




Khandaq me intizar ke mujh ko dhakel kar..
Baithe hain mujh se door woh mujh ko bhula ke aaj..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.







Rukte nahi hain ashk-e-judayi mai kya karu'n..
Ruswa kahein kare na meri chashm-e-tar mujhe..

SHAYIR:
ABDUL GHAFOOR SAJID







Har lafz lafz mehkega uske labo'n ke saath..
Tanhayiyo'n me jab woh ghazal gungunyega..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.







Guzarta hun gali se uski k didaar ho jaye..
Khuli hoti hai jab bhi uske ghar ki khidkiya'n yaaro..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.







Kaanp uthta hun mai sun kar naam khushiyo'n ka HAYAT.
Mai ne har Qeemat chukayi hai khushi ke waaste.

SHAYIR:
Shameem Hayat







Har lafz lafz mehkega uske labo'n ke saath..
Tanhayiyo'n me jab woh ghazal gungunyega..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.







Har shakhs ki Qismat me inaam nahi hota..
Tadbeer jo karta hai nakaam nahi hota..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnatak)







Rakh liya ahl-e-dil ne wafa ka bharam..
Naam tere sitam ka karam rakh diya..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga, Bihar.







Khwabo'n k kore kaghaz par neendo'n k lahu se likhta hun.
Dil khol k batlawo mere ash'aar ki Qeemat kya doge?
-
ROSHAN ZAMEER

urdu poetry part 93

Likkhu'n mai uss pe sher toh aisa ho mojiza.
Kaghaz pe mujh ko uska hi chehra dikhayi de.

SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI,
Vaniyambadi



Auraaq ye tamaam jalayenge bin padhe..
Andho ke haath me na yun dil ki kitab de..

SHAYIR:
Ramachandra
"RAJ PREMI"
Bangalore.







Itna hai bas khulasa shayir ki zindagi ka..
Aashiq hai Husn ka woh Khushbu ka Chandni ka..

SHAYIR:
Dr. Fitrat bhatkali.







Zindagi ki ye haqeeqat hai bichhad kar tujhse.
Jaise raste me pada ho koyi patthar tanha.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar







Is Qadar rootth gaya hai mera hamdam mujh se..
Ab mujhe usko manane se bhi dar lagta hai..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam







Andheri raat hai tanhayi ka sannata chhaya hai..
Qadam uthte hain manzil ki taraf rasta nahi milta..
-
SUHAIL ARSHI,
Bhatkal.







Rayega'n mehnat kisi ki dosto jaati nahi..
Mehnato'n ka apni beshak pawoge inaam kal..

SHAYIR:
HAROON SAIT SALEEM







Badal sakenge woh kaise zamane ki taqdeer..
Jo ek rote huwe tifl ko hansa na sake..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.







Hanste hanste hi sahenge zindagi ke har sitam..
Mehrbani hai ye mere dosto'n ka hai karam..

SHAYIR:
NAGHMA Karnataki.







SURAJ wafa ka jis pe asar hi na ho koyi..
Woh dil meri nigaah me patthar dikhayi de..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har.

urdu poetry part 92

Tera saya na ho sar par toh ham 2 din me mar jaye'n.
Tera dar chhoot jaye toh kaha'n jaye'n kidhar jaye'n.
-
JAWWAD HASAN



Khwab me mai ne kisi dulhan ko dekha hai
HAYAT..
Baj rahi hain jaise mere har taraf shehnayiya'n..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT







Kisi aur par meri jaan mera dil fida nahi hai..
Mere dil me tu hi tu hai koyi doosra nahi hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Buzdil nahi toh kya mai usay sorma kahu'n.
Biwi pe apni zulm jo dhata hai umr bhar.

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA, Katihar, Bihar





Hamsafar ban kar chale hum door tak halaanke ab..
Ajnabi lagne lage hain jaane pehchane huwe..
-
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.





Likkhu'n mai uss pe sher toh aisa ho mojiza.
Kaghaz pe mujh ko uska hi chehra dikhayi de.

SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI,
Vaniyambadi







Auraaq ye tamaam jalayenge bin padhe..
Andho ke haath me na yun dil ki kitab de..

SHAYIR:
Ramachandra
"RAJ PREMI"
Bangalore.







Itna hai bas khulasa shayir ki zindagi ka..
Aashiq hai Husn ka woh Khushbu ka Chandni ka..

SHAYIR:
Dr. Fitrat bhatkali.







Zindagi ki ye haqeeqat hai bichhad kar tujhse.
Jaise raste me pada ho koyi patthar tanha.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar







Is Qadar rootth gaya hai mera hamdam mujh se..
Ab mujhe usko manane se bhi dar lagta hai..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam

urdu poetry part 91

Uske saaye me thakan apni mita leta tha..
Uski Qurbat thi mere waaste peepal ki tarah..

SHAYIR:
IMRAN RAQIM,
Kolkata.







Jin ki rag rag me ho imaan ka saiyaal rawa'n.
Woh bharosa nahi karte kabhi hathyaro'n par.

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore







Sharm-o-haya ko rakh ke woh baalaye-taaq ab.
Phirti hai beniyaz dupatte se dar-ba-dar.

SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL,
Bangalore.







Meri zindagi thi udas C Jo mile ho tum to A haal hai,
Koi shakh jaise Gulab ki Kahein tharthara k lachak utthi.
-
ILYAS RAHAT







Mai apni pyas ki toheen kar nahi sakta..
Ye aur baat samandar pukaarta hai mujhe..

SHAYIR:
ZAMEER YUSUF,
Howrah. (W.B.)







Zehn darwaze pe rehta hai nazar aangan me..
Jiski Beti ho jawa'n uski rihayi kaisi..

SHAYIR:
AMEER ANSARI,
Hasanpur. (U.P.)







Wafa shi'aar hun mai is Qadar mere hamdam..
Tera Qusoor bhi apni khata lage hai mujhe..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.







Jalta huwa ghar dekh ke aata tha jise lutf.
Ab apne hi khud ghar ka dhuwa'n dekh raha hai.

SHAYIR:
SYED BHATKALI
(Karnataka)







Chand nadeeda baharo'n ki tamanna le kar..
Ham bhatakte rahe iflaas ke bazaro'n me..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.





Padho toh aaj bhi har lafz se khushbu bikharti hai.
Kuch aise khat meri boseeda almari se nikle hain.

SHAYIR:
ZAFAR Ranipuri

urdu poetry part 90

Mujh se chhupne ki ye koshish hai tumhari nakam.
Meri aankho'n me muqaiyad hai tumhari surat.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam




Husn aanchal me hi dobala huwa karta hai.. Achha dikhne keliye sar se dupatta na gira..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT Muzaffar nagari.







Sabhi bach ke chal rahe hain Nahi koyi mera saathi.
Mera haal khush tha jab tak mere saath tha zamana.

SHAYIR:
JALAL MADANI







Uff tera ye hijab bhi kya be-hijab hai..
Zahir hai jis me husn ke johar naye naye..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnatak)







Khilona jaan kar tum ne hamare dil se khela hai..
Parayi cheez par Jaanam hukumat yu'n nahi karte..

SHAYIR:
AHMED NAZEER







Mehfil me aap chonk utthe mere naam par..
Chhoti si baat phail ke afsana ban gayi..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.







Museebat ki kahani sunne wala kaun tha aakhir..
Kahi khud apne dil se ham ne apni daasta'n tanha..

SHAYIR:
NAZISH Hyderabadi







Manzoor jaan-o-dil se hai mujh ko har ek saza..
Lillah mujh ko meri khata toh batayiye..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.







Ye kehta phirta hai wayiz Qiyamat aane waali hai..
Magar is keliye khud us ne taiyari nahi ki hai..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Lahu ab ghazal ban ke dhalne laga hai..
Asar kar rahi hai mohabbat kisi ki..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow. (U.P.)

urdu poetry part 89

Aaya jo bura waqt gaye chhod ke saaye..
Apne bhi paraye bhi mere kaam na aaye..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnatak)







Khushbu woh aaj tak na gayi mere haath se.
Daman bhi chhut gaya tera Aanchal bhi kho gaya.

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow







Unhe Khaar bhi phool lagte hain yaaro..
Gham-e-zeest ke jo sataye huwe hain..

SHAYIR:
RAHBAR Darvesh poori, Siwan.







Ek umr toh chale hain shararau pe dosto..
Ab haal ye hai dekh ke phoolo'n se dar gaye.

SHAYIR:
AARIZ MIYAN,
Garhi Pukhta.




Muflisi me bhi ARSHAD sambhala isay..
Aaj tum kya kharidoge ghairat meri..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF, Chickballapur.







Dil jal raha tha ishq ki chingariyo'n ke beech.. Dunya samajh rahi thi k roshan huwa diya..

SHAYIR:
AFZAL SARWARI,
Ramnagram







Yahi ek aarzu hai saath mil jaye tera mujh ko..
Mai tere waaste har ek museebat jhel sakti hun..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK







Jab tak Qareeb thay koyi parwah na thi hame'n..
Ab door ho gaye hain toh pachta rahe hain ham..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Lakh ham ne zabt-e-gham ki aaj koshish ki magar..
Iztirab-e-dil in ashko'n se huweda ho gaya..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB







Tere badan ko chhu k mahek jaati hai hawa..
Ambar Gulab Ithr k Sandal kahu'n tujhe..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.


urdu poetry part 88

Jinki khatir jaha'n ko mukhalif kiya..
Ab woh hi ham se daman bachane lage..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ, Deobandi. (U.P.)







Charagho ! Kab hawa ki doghli fitrat ko samjhoge.
Jalati hai yehi tumko Yehi tumko bujhati hai.

SHAYIR:
ANWAR HASAN Deobandi







Jab kaha tha tum ne mujh ko chashm-e-nam se Alvida..
Khoon ke aansu rulata hai woh manzar aaj bhi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN







Tamtamate huwe chehre pe nasheeli aankhe'n.
Tujh ko dekha toh mujhe Chand bhi achha na laga.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam







Woh jo hansta phir raha hai hoga deewana koyi..
Dard ke shehro'n me RAHAT muskurata kaun hai..
-
ILYAS RAHAT Muzaffar nagari.







Tumhare qurb ki hasrat liye jeeti hun mai liken..
Muqaddar me tumhara saath na hoga toh kya hoga ???

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK







Charagh-e-rahguzar ban kar yunhi jalta rahunga mai..
Andhero'n me kisi ke kaam aayegi Ziya meri..

SHAYIR:
ZIYA Karnataki.







Aaye toh thay woh dil me shuaaye'n liye huwe..
Jaate huwe charagh bujha kar chale gaye..

SHAYIR:
NIYAZ AHMED NIYAZ,
(Hubli)







Tum ko aana hai toh aawo hai bahut roshan safar..
Dil jala ke le chala hun roshni ke waaste..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.







Tere dil me jo aaye khat me likh dena khushi se tu.
Lifaafe par kabhi bhule se mera naam mat likhna.

SHAYIR:
SABA Darbhangvi

urdu poetry part 87

Mushkil hai bahut dhoondna woh daagh Lahu ke..
Shamil hai mere Qatl me woh rang-e-hina bhi..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI







Kabhi Rahbar kabhi Hamdard-o-Maseeha ban kar..
Rahzan milte hain is daur me kya kya ban kar..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.







Ek aag lagi hai seene me aur ashk rawa hai naino se.
Mushkil hai judayi ki ghadiya'n behtar hai k dam hi nikal jaye.
-
NOURIN







Khushiya'n ho k Aansu ho Milan ho k Judayi..
Ye sab toh badalte huwe mosam ki tarah hain..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam







Zinda hai ab talak mera kirdar dosto..
Ye aur baat hai meri talwar kat gayi..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT Muzaffar nagari. (U.P.)







Tum nazar se bhi girawoge toh mar jaounga..
Tum ko talwar uthane ki zaroorat kya hai..

SHAYIR:
ASRAR NASEEMI,
Bareily (U.P.)







Tum nazar se bhi girawoge toh mar jaounga..
Tum ko talwar uthane ki zaroorat kya hai..

SHAYIR:
ASRAR NASEEMI,
Bareily (U.P.)




Tum nazar se bhi girawoge toh mar jaounga..
Tum ko talwar uthane ki zaroorat kya hai..

SHAYIR:
ASRAR NASEEMI,
Bareily (U.P.)







Kisi ke saamne jhukta nahi hai woh jis ko.. Khuda ke saamne aadat ho sar jhukane ki..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi.







Udaas ho ke nazar har taraf se laut aayi.. Tumhare baad koyi doosra hasee'n na laga..

SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI, (U.P.)








urdu poetry part 86

Har baar mil ke yunhi bichhadna hai zindagi..
Shikwa bhi kar sake na kisi hamsafar se ham..

SHAYIR:
SYED BHATKALI...



Mere dam se hai tere husn ka charcha ghar ghar..
Tere bayis huwi deewano'n me shohrat meri..

SHAYIR:
AFSAR Vaniyambadi.







Ham ne toh uske zulm ka shikwa nahi kiya..
Kya baat hai k aaj sitamgar udaas hai..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata...





Hajat-rawa hai kaun Khuda ke siwa SHAKEEB..
Zahir kisi pe apni zaroorat na keejye..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.





Kyun kisi ki chahat me raat din tu rota hai..
Aaj ke zamane me kaun kiska hota hai..

SHAYIR:
SABA DARBHANGVI, BIHAR.





Sulagti dhoop me wada tha saath dene ka..
Bhari bahaar me woh chhod kar chala mujh ko..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.







Usi ko jaane kyun
IBN-E-HASAN dil yaad karta hai..
Hazaro'n zakhm khaye zindagi me jis sitamgar se..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN





Socha toh door tak mera dushman koyi na tha..
Dekha toh Qatilo me mera Hamsafar bhi hai..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Chhod de nadaniya'n ab tu nahi bachcha HAYAT..
Dawdna titli ke peechhe na-gahaani chhod de..

SHAYIR:
Shameem Hayat







Mujhe tasleem hai Mana mohabbat zakhm deti hai..
Nahi phir bhi Haseeno se irada door rehne ka..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.