Tuesday, June 22, 2010

urdu poetry part 256

Karta rahe jo BAAP ki azmat ko taar taar..
Mahroom hoga khud bhi woh aulaad-e-nek se..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.


Kaise batawu'n dosto!
Hai kitna kush-naseeb..
Jiski hayat guzri hai WALID ke saaye me..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
(Shamli)



Ghayel kiya hai BAAP ko khanjar ke waar se..
Nasl-e-jadeed ke zara atwaar dekhiye..

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA,
KATIHAR (Bihar)



BAAP ke ausaaf ki koyi nahi usme jhalak..
Mar gaya jo BAAP toh jageer me uljha raha..

SHAYIR:
SYED BHATKALI,
(Karnataka)



Khayi'n thi jiske waaste dar dar ki thokare'n..
Beta hai aaj kyun wahi bezaar BAAP se..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Jab suna awlaad hain mushtaq uski muat ki..
Maal-o-dault ka zakheera BAAP ko dasne laga..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.



Noor-e-nazar jo MAA ne
diya hai haqeeqatan..
Dar'asl BAAP ne hi woh bakhsha tha tohfatan..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH...



Mere Malik mere dil me usay Qayim rakhna.
Mere WALID ne sikhaya jo saleeqa mujh ko.

SHAYIRAH:
Dr.Virottama Sargam,
Bangalore



Mukammal ho nahi sakti kitab-e-zindagi meri..
Na hoga tazkirah jab tak mere WALID ki shafqat ka..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI



Beta hamare ahd ka kitna ajeeb hai..
Mauqa mile toh BAAP ki pagdi utar le..

SHAYIR:
SABA DARBHANGVI, Darbhanga. (Bihar)

urdu poetry part 255

Jeeta hun sar utha ke zamane me Ay ANEES..
ABBA khila rahe hain kamayi Halaal ki..

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES,
Bhatkali...



Ameer-e-shehr ka rishta na thukrata toh kya karta..
Ke muflis BAAP ne dekha tha zinda jalte Beti ko..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI.



Dar-e-jannat hai matha mere WALID ka tabhi KHALID.
Thapede waqt ke kha kar mai usko choom leta hun.

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI



Mere WALID hain sarmaya meri bachpan ki yaado'n ka..
Unhe jab dekh leta hun Ladakpan laut aata hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.



Mere mohsin hain woh unpar nichhawar jaan hai meri..
Adab se isliye mai unko ABBA JAAN kehta hun..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.



Ban ke nagin das rahi hai BAAP ko fikr-e-jahez..
Jab se uski laadli Beti siyani ho gayi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..



Ungli pakad ke chalna sikhaya tha BAAP ne..
Raste me tanha chhod diya usko aap ne..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.



Jeete ji bhool kar bhi vasiyet na keejye..
Khud aap apne Qatl me shirkat na keejye..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore..



Mujh ko pehchan ata ki jo mere WALID ne..
Unke ehsaan ka badla kaha'n mere bas me..

SHAYIR:
Dr. Virottama Sargam,
Bangalore.



Beghar usi ne kar diya ab walidain ko..
Miraas me mila jise ghar baar BAAP se..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.
(U.P.)