Wednesday, June 2, 2010

urdu poetry part 237

Karte hain mohabbat sab hi magar,Har dil ko sila kab milta hai.
Aati hai bahaarein gulshan me,Har phool bhala kab khilta hai.







"Karle ada Namaz mere yaar waqt par,
Tujh ko bachayegi ye jahannam ki aag se."


(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Mai paida huwa tha tere waste,
Meri jaan hai tu meri zindagi.
Tujhe bhoolne mai na paya kabhi,
Tere pyar me kat gayi zindagi.







Khwab lafzaw me dhal nahi sakte,
Kaash aankhein padha kare koyi..
Log taskheer ho bhi sakte hain,
Lafz dil se ada kare koyi..







Us se pehli hi mulaqat thi lekin ye laga..
Jaise barsau se meri us se shanasayi hai..

(Haneef Shah Shabnam)
.
.





Aankhein tere haseen tasauwur me band hain..
Dunya samajh rahi hai mujhe neend aa gayi..

(Ad)
START GHAZAL4U
to
09223050606









Azbar hai lafz lafz sabaq ki tarah mujhe.
Tu dastan-e-gham meri chahe jidhar se poochh.

(Haneef Shah Shabnam)
.
.





Milo aa k mujse Karo phone tum,Zamane se darte ho tum kisliye.Agar aa k milne ki himmat nahi,To phir pyar krte ho tum kisliye



Tu Muqaddar tha mera, Mai teri Taqdeer na thi.
Meri Qismat me tere khwabo ki ta'beer na thi.

START GHAZAL4U
to
09223050606









Gul umeedo k khil gaye hote,
Chaak daman b sil gaye hote.
Meri kismat me tum na thay warna,
Hum bichhad kar b mil gaye hote.









Hota nahi hai usko kisi baat ka malaal..
Kahiye na Bewafa se pareshaniyau ka haal..

(Haneef Shah Shabnam)

-








urdu poetry part 236

Aa bhi ja dushwar hai mujh se ye manzar kaatna,
Shaam-e-tanhayi tere bin mere dilbar kaatna.

(Plz ask ur friends to join us)




Mere saamne tum toh aate nahi,
Kabhi apna wada nibate nahi.
K jee chahta hai mulakat ko,
Mujhe apne ghar tum bulate nahi. N2







Suna Hai Le Rahe Ho Ghar Ka Tum Saman Qistau Par..
Ye Mera Dil Bhi Hazir Hai Bahut Aasan Qistau par..







HADEES:
"The truthful and trusty businessman is associated with the prophets, the saints, and the martyrs.'







Meri tujse Yarab yahi 1Dua hai,Mila de use jispe A dil fida hai.Use mere Jeevan ka sathi bana de,Yahi arzu hai yahi iltja hai






HADEES:
The one who looks after a Widow or a Poor person is like a Mujahid (Warrior) Who fights for Allah's cause.
(Bukhari)







Mai is khayal se aaj tak tujh se dil ki baat na keh saka..
K tu mere gham se hai bekhabar kahein muskura k na taal day..












Zamane se darne lagi hai bahut,Mulakat mujhse O karti nahi.
Use khof-e-ruswayi hai har ghadi,O ab Ghar se bahar nikalti nahi.





 Tu bhi wafa ke roop me ab dhal ke dekh le..
Is aag me hamari tarah jal ke dekh le..

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Wafa tujse Ae bewafa chahta hun,Meri sadgi dekh kya chahta hun.Teri arzu hai agar jurm koyi,To us jurm ki mai saza chahta hun

urdu poetry part 235

HADEES:
Prophet (pbuh) siad:
Anyone whose neighbor is not safe from his misdeeds is not a true Believer.
(Bukhari & Muslim)







HADEES:
Prophet (pbuh) said:
"Whoever fulfills the needs of his Brother,Allah fulfills his needs". (BUKHARI)







Kya karu ta'reef teri kya sunehri chaal hai..
Aankh kishmish Naak gajar kya tamatar Gaal hai..

START GHAZAL4U
to
09223050606







Ajeeb mera hai ishq yaaro,
Ajeeb diwangi hai meri..
Mai uske Message ka muntazir hun,
Jise kabhi Khat likha nahi hai..







Aarzu hogi hazarau ko tumhari lekin..
Chahne wala koyi hum sa dikhawo toh sahi..

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Amraaz-e-badan ke toh mualij hain hazarau..
Bimar-e-mohabbat ki dawa kaun karega..

(Shabnam Bhatkali)







Mohabbat aur Hawas ek dil me hargiz reh nahi sakte..
Mohabbat jisko kehte hain woh ek pakeeza jazba hai..

(IBN-E-HASAN)







Yahi ek gham gham-e-motabar,
Yahi gham hai haasil-e-zindagi.
Gham-e-aashiqi ko na tark kar,
Yahi Aashiqau ka payam hai.







HADEES:
"The most perfect in faith amongst believers is he who is best in manner and kindest to his wife.'









Nahi jaanti hai mera naam O,
Magar bhej deti hai paigham O.
Mohabbat ke Message mujhe bhej kar,
Mera chheen leti hai araam O.

urdu poetry part 234

Milne ko toh milte hain bahut chahne wale..
Par jis se mohabbat hai woh Ladki nahi milti..

(IBN-E-HASAN)
.
.
.



Teri rahmat ka aasra lekar,
Mai ne shayed gunah kiye honge..
Maaf kar day mere Khuda mujh ko,
Kaam mai ne siyah kiye honge..







Jis jaga hoti hai daulat ki parastish yaaro..
Bhool kar bhi na wahan Beti ka rishta karna..

(Haneef Shah Shabnam)









Mu maanga day na paya woh Damad ko jahez..
Beti ke haat is liye peele na ho sake..


(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606












Patthar toh dastiyab hain Gohar ki hai talash..
Ladki kunwari baithi hai Shohar ki hai talash..

(Shabnam Bhatkali)




Gulshan se baharein rooth gayi,Phoolau ne mahekna chhod diya.
Jis din se juda tum hum se huwe,Is dil ne dhadakna chhod diya.







Sitam toh ye hai k woh bhi na ban saka apna..
Qubool hum ne kiye jiske gham khushi ki tarah..

(Plz ask ur friends 2 join us)







Kiya hai pyar jise hum ne zindagi ki tarah..
Woh aashna bhi mila hum ko ajnabi ki tarah..

(Ad)
START GHAZAL4U
to
09223050606







Shayed woh ho gayi hai kisi aur par fida..
Karti nahi hai phone pe woh baat aaj kal..

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Kat'te hain mushkilat me din raat aaj kal...
Haasil nahi sukoon k Lamhaat aaj kal...

(Shabnam Bhatkali)

urdu poetry part 232

Apna khayal rakh lo meri jaan tum sada..
Tum khud hi apne paas amanat ho ab meri..

(IBN-E-HASAN Bhatkali)





Lagta toh hai yahi k amanat hai tu meri..
Tujh se tujhi ko maang lu ye hosla nahi..

(SHAMEEM HAYAT, Bangalore)







Karta hun mai elaan mohabbat ka sar-e-bazm..
Mai chup nahi reh sakta hun ruswayi ke dar se..

(IBN-E-HASAN Bhatkali)







Tumhe shaakh se tod laya hun mai,Mere waste tum haseen phool ho.
Hazarau baras tum salamat raho,Dua kaash meri ye maqbool ho.







Geet likh kar chal basa ek shayar-e-khana kharab..
Ek shahzadi mahal me gungunati reh gayi..

(Shameem Hayat Bangalore)







Ek pal bhi bhulaya tumhe aisa bhi nahi hai..
Ye baat alag hai tumhe dekha bhi nahi hai..

(Shameem Hayat, Bangalore)









Prophet (pbuh) said
A servant,if he acknowledges his sin & then repents, Allah will forgive him.
[Muslim (2770)]









Mujhse O rooth kar gaya kaise,Ranj ankho me bhar gaya kaise.Band thay saare chor darwaze,Koi dil me utar gaya kaise (S.HAYAT)






Ek pal bhi bhulaya tumhe aisa bhi nahi hai..
Ye baat alag hai tumhe dekha bhi nahi hai..

(Shameem Hayat, Bangalore)









HADEES:
The Prophet (pbuh) said:
None of you truly believes until he wishes for his brother what be wishes for himself.






urdu poetry part 231

Haseen shakl se matlab nahi mohabbat ko..
Woh ek ada hai jisay dil pasand karta hai..

(Fitrat Bhatkali)







Teri aarzu teri justju me mai phir raha hun yahan wahan,Tu meri nigah se door hai tujhe dhoondlu mai kahan kahan.
-IBNE HASAN









Dunya me ab to Haseeno ka ghar se b nikalna mushkil hai,
Bebaak nigaho ki unpar har gaam pe barish hoti hai

-BISMIL Bhatkali







Woh galiyaan aaj bhi yu hi hamari raah takti hai..
K jin galiyo me bachpan me tumhare saath khela tha..

(Shameem hayat)







Tu salamat rahe mil jaye tujhe umr-e-taweel..
Bewafa tere liye hum ye dua karte hain..

(Shabnam bhatkali)







Waqt-e-rukhsat toh kaha hans kar Khuda hafiz magar,
Sabr ka jab band toota door ja kar ro pade.

(ILYAS RAHAT,Muzaffar nagar)







ZAKAT:
"Without doubt,charity saves you from the wrath of Allah,and banishes (gets rid of) a bad death"
(Tirmizi)







Hafiza hai k bhool jata hai,
Dil ko lakin O yaad aata hai..
Yu toh mai bhi falak ko chhu leta,
Hosla saath kab nibhata hai..







Phool Sitare aur Qamar,
Aaj bichhe hain raaho par..
Shaam dhali hai aa jao,
Dhoond rahi hai chashm-e-tar..

(Shameem Hayat)







Mohabat me dhoka mujhe doge tum,Mujhe kya khabar thi mai anjan tha.Tadpna padega mujhe raat din,Nahi janta tha mai nadan tha.

urdu poetry part 230

Tujh se ab mera ta'alluq toh nahi hai lekin..
Teri soorat meri aankho me basi hai ab bhi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.


HAPPY NEWS:


Dear lovers of Urdu poetry,
Many famous URDU POETS of India have joined GHAZAL4U.
For enjoying their couplets on your mobile along with their names

for activation:
sms

START GHAZAL4U

And send it to 09223050606






Kaun aaya tha jo aandhi ki tarha guzra tha..
Dil ki waadi me sada goonj rahi hai ab bhi..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.







Atish-e-pyar se seena mera khali na huwa..
Ishq ki aag mere dil me bhari hai ab bhi..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.







Ek muddat huwi bichhde huwe tujh se liken..
Dil ki dunya teri yaado se saji hai ab bhi..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali, Goa.







HAPPY NEWS:
Many famous Urdu poets of India have joined GHAZAL4U.
Enjoy their Shayiri on ur mobile along with their names...







Deed ki teri pyas hai jaanam,
Tujh se milne ki aas hai jaanam.
Tu na aayi to maut aayegi,
Zindagani udas hai jaanam.

-BISMIL







Yaaro zaroor uski bhi majbooriya thi kuchh..
Warna woh is tarah mujhe tanha na chhodti..


(Shabnam bhatkali)







Kat'ti hai yu hayaat meri iztirab me..
Machhli ho jaise paani ke bahar azaab me..

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606




Kuchh na kuchh toh hai jo usne aaj dekha hai mujhe..
Iss se pehle toh palat kar yu kabhi dekha na tha..

(SHAMEEM HAYAT)







Saari khushiya rooth gayi hain,
Tujh se bichhad kar khwab me jaanam..
Dil ki naiya doob gayi hai,
Ashkau k Selaab me jaanam..








urdu poetry part 229

Do dilau k beech ek diwaar hayil hai magar..
Phir bhi hai ummeed hum ko laut kar aawoge tum..

(IBN-E-HASAN Bhatkali)




Saare rang simat aaye hain unki haya me phoolau ke.
Utne hi pyare lagte hain woh jitna sharmate hain.

-SHAMEEM HAYAT









Muskura kar meri janib bhi kabhi dekh sanam..
Mai bhi shamil hun tere husn ke diwanau me..

-SHABNAM Bhatkali




Unke honto pe ab hansi C hai.
Baat lagta hai kuch bani C hai.
Kitne tufan kar gayi barpa.
O hansi jo dabi dabi C hai.

-RAHAT









Unke honto pe ab hansi C hai.
Baat lagta hai kuch bani C hai.
Kitne tufan kar gayi barpa.
O hansi jo dabi dabi C hai.

-RAHAT







Prophet(pbuh) said
"If any Muslim comes out of Ramadan without gaining forgiveness & goodness,he is a real loser"
(Tabarani)







Sambhal jawo meri Behno kahein thokar na lag jaye...
Sanwar kar aur saj kar is tarah Bazar mat jawo......







Ibadat ka maheena hai magar afsos hai ke ab.
Nazar aati hain Bazarau me aksar auratein yaaro.


START GHAZAL4U
to
09223050606







Dil ki dunya nikhar gayi hoti,
A shab-e-gham guzar gayi hoti.
Tum hamare jo ho gaye hote,
Zindagani sanwar gayi hoti

-BISMIL







Hijabo me dekha tha mai ne usay,
Mere saamne uska chehra nahi.
Mohabbat me uski giriftar hun,
Jise aaj tak mai ne dekha nahi.








urdu poetry part 228

Usne jaate huwe dekha na pukara mujh ko..
Waqt-e-rukhsat woh mujhe bhool gaya ho jaise..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.







Dekha nahi hun tum ko nazar bhar ke mai abhi..
Dil me laga ke aag chale ja arhe ho tum...

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Teri yaado se mai ek pal bhi ghafil ho nahi pata..
mere Qalb-o-jigar me tu basi maloom hoti hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN







dost hazar salawn ki judai ko yak muskurahat sa mita deti hai yak dost ki kimat lakawn dushmanawn sa bhi behattar hai.






Wahan wahan pe bikharti hai dosto khushbu..
Jahan jahan se woh jaan-e-chaman guzarti hai..

-SHABNAM Bhatkali







Ay khuda mujh pe tu bas itni inayet kar day..
Mere MEHB00B ke dil me meri chahat bhar day..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Tu aa ke mujhe ab mere khwabo me mila kar..
Dunya ko mera tera milan raas nahi hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.







Mujhe jisse mohabat ho gayi hai,
Suna usme jafa kaari bahut hai,
Use apna banana chahta hun,
Jise pane me dushwari bahut hai.







Kya khabar thi k hamein yu chhod kar jawoge tum..
Zar parasti ki hawas me pyar thukrawoge tum..

(IBN-E-HASAN Bhatkali)






urdu poetry part 227

Hashr k roz hashr kya hoga,
Aazmayish wahan kadi hogi..
Bach na pawoge kar k tawilaat,
Sakht insaaf ki chhadi hogi..







Tum aao to lagta hai har samt ujala hai,
A aap ka chehra hai ya Chand ka hala hai.

SHAYIR:
ILIYAS RAHAT
Muzaffar nagar, U.P.







Samjha na tu labo pe mere kis ki pyas hai..
Mai ne toh ye suna tha, tu chehra shanaas hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore







Nigah-e-yaar par LICENCE ka hona zaroori hai..
Ye bhi toh Qatl karti hai hamein PISTOL ki tarha..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Himmat agar hai tujh me toh elaan-e-ishq kar..
'Dar dar ke pyar karne me koyi maza nahi..'

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Uske baghair aaj bahut jee udaas hai.
Yaaro! chalo kahein se usay dhoond laayein hum.

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Hum jiske intzaar me jaage tamaam raat,
Aaya bhi toh woh khwab ki soorat guzar gaya.

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Jaanta hun k bewafa hai tu,
Phir b mujh ko yaqeen nahi aata.
Teri yaado se mujhko nafrat hai,
Phir b tujh ko bhula nahi pata.







O kabhi aate nahi hai samne,Door reh kar mujhko tadpate hai O.
Ek arsa unse mil kar ho gaya,Aaj b mujh par sitam d**** hai O.







Zakhm de kar judayi ka tu ne,Mere dil ko tabah kar dala.
Chand sikkau ki chah me jaanam,Tu ne kaisa gunah kar dala.

-BISMIL

urdu poetry part 226

Aaj ki raat na tum ghar se nikalna bahar..
Warna sab log tumhe CHAND samajh baithenge..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







EID k chand ghareebo ko pareshan na kar,
Tujh ko maloom nahi zeest giraa'n hai kitni.

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606









Teri rahmat ka aasra lekar,
Mai ne shayed gunah kiye honge..
Maaf kar day mere Khuda mujh ko,
Kaam mai ne siyah kiye honge..







Prophet (pbuh) said
A servant,if he acknowledges his sin & then repents, Allah will forgive him.
[Muslim (2770)]







Lillah chale aawo k neend aati nahi hai..
Tere bina kat hi nahi sakti hai shab-e-gham..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Aahat pe kaan hain mere aur Dar pe hai nazar..
Shiddat se muntazir hun mai didaar-e-yaar ka..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Samjha na tu labo pe mere kis ki pyas hai..
Mai ne toh ye suna tha, tu chehra shanaas hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore







Nahi likkhe gaye yunhi hum ek duje ki Qismat me...
Tumhe mai ne mujhe tum ne kabhi maanga bahut hoga.....







Use pa kar b mai ne kho diya hai,O mujhko bewafa kehne laga hai.
Samajhkar bebasi ko bewafayi,O mujhse door ab rehne laga hai







Gunaho se tauba karo dosto,
Dua Maghfirat ki karo bar bar.
Karega jo bakhshish Khuda se talab,
Usay maaf kar dega Parwardigar

urdu poetry part 225

Dekhne nikle thay chhat par sab hilal-e-eid ko..
Par meri nazrein thi unpar tha bahana chand ka..





Kuchh Musarrat mazeed ho jaye,
Is bahane se EID ho jaye..
EID milne jo aap aa jayein,
Meri b EID, EID ho jaye..





Chand ke bahaane teri deed ho gayi..
Chand raat ko hi meri EID ho gayi..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.









Poochha jo unse CHAND nikalta hai kis tarah.
Zulfau ko rukh pe daal ke jhatka diya k yu.

(Ad)
START GHAZAL4U
to
09223050606










Usne jab Rukhsar se apne hataya jo naqab..
CHAND bhi sharma k uss se Badalau me chhup gaya..

(Plz ask ur friends to join us)




Naye kapdau se hain mahroom hazarau bachche..
Aise soorat me bhala EID manawou kaise..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Apne Rukhsar se pardah na hatawo warna..
CHAND koyi nahi dekhega tumhe dekhega..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali

urdu poetry part 224

Gul umeedo k khil gaye hote,
Chaak daman b sil gaye hote.
Meri kismat me tum na thay warna,
Hum bichhad kar b mil gaye hote.



Usne mujh se ye kaha tha dil nahi bikte yahan..
Khol kar baitha huwa dil ki dukaa'n ye kaun hai...???

SHAYIR:
Shameem Hayat




Kaash ek bar O nazar aaye,
Dil ki ummeed meri bar aaye.
Sath mil jaye gar mujhe uska,
Zindagani meri sanwar jaye.

IBNE HASAN







Tere baghair kisi shai me dilkashi hi nahi.
Hilal-e-eid ka chehra laga udaas mujhe.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar, U.P.







Kaash ek bar O nazar aaye,
Dil ki ummeed meri bar aaye.
Sath mil jaye gar mujhe uska,
Zindagani meri sanwar jaye.

IBNE HASAN









Mai EID manawou bhi toh kis tarha manawou..
Sab kuchh hai mere paas magar tu hi nahi hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Tumhari deed ko harpal tarasti hain meri ankhiyan.
"MUBARAK ho meri janib se tum ko EID ki khushiyan".

IBN-E-HASAN Bhatkali







Charau dishaayein jaise rango se bhar gayi..
Usne jo aa ke EID Mubarak kaha mujhe..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.







EID ke roz toh sab log yahi karte hain..
Tum b aa jao mere paas gale milne ko..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali

urdu poetry part 223

Diya jab usko dil apna khula ye raaz tab mujh par.
Woh Zalim hai Sitamgar hai Ghazab dhane me mahir hai.

-SHABNAM Bhatkali







Chand taare udas lagte hain,
Phool saare udas lagte hain.
Tu nahi saath toh mere Hamdam,
Sab nazare udas lagte hain.

-BISMIL







Baat jo dil me hai woh kaise zaban pe lawoun.
Jab woh milti hai toh badh jaati hai dil ki dhadkan.

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Bolta tha wo bahut hi chup kabhi rehta na tha..
Mujh se lakin wo kabhi kuchh haal-e-dil kehta na tha..

SHAYIR:
Shameem hayat







Bolta tha wo bahut hi chup kabhi rehta na tha..
Mujh se lakin wo kabhi kuchh haal-e-dil kehta na tha..

SHAYIR:
Shameem hayat







Ailan-e-mohabbat koyi mushkil toh nahi hai..
Par mujh ko ye dar hai k tu ho jayegi ruswa..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Sawal karne me yu mujh ko khof aata hai.
Umeed toot na jaye kahein jawab ke saath.

SHAYIRAH:
MEENA NAQVI
Aghwanpur,Moradabad







Mujhe tu bhi kaise bhulayega Mera naam kaise mitayega..
Mere dost aayina dekhle Mai teri jabeen ki lakeer hun.....







Phool Sitare aur Qamar,
Aaj bichhe hain raaho par..
Shaam dhali hai aa jao,
Dhoond rahi hai chashm-e-tar..

SHAMEEM HAYAT







Hum bhi tumhari tarha wadau se gar mukarte..
Tanhayiyo k gham se tum toot kar bikharte..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali (GOA)







Dil ko sukoon nahi hai, bahut bekarar hai..
Hum toh tumhare gham me tadapte hain raat din..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.

urdu poetry part 222

Ruth ko bhi badalne me chaar maah lagte hain.
Aadami magar BISMIL daf'atan badalta hai.

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI,
(Karnataka)









Jis jaga hoti hai daulat ki parastish yaaro..
Bhool kar bhi na waha'n Beti ka rishta karna..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.







Apni dunya-e-sukhan me ye ada rakhta hun.
Apne Ash'aar ko auro'n se juda rakhta hun.

SHAYIR:
A.KHALIQ ANEES,
Jamia Abad. Bkl












Gehrayiya'n jazbaat ki naapi nahi jaati..
Ikhlaas ko meezan me tola nahi karte..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Akola. (Maharashtra)




Milenge senkdo'n tum ko jaha'n me chahne waale..
Magar MAA ki tarah koyi mohabbat kar nahi sakta..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN









Hame'n barbaad karne me thay apne bhi paraye bhi..
Sabab lutne ka aakhir ham bhala kis se baya'n karte..

SHAYIR:
NAZEER RAHI









Kya jaanye paa kar usay kya haal ho iska..
Dil soch ke jis shakhs ko betaab lage hai..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)








Hasrate'n toot gayi kitni Sitaaro'n ki tarah..
Ham khade reh gaye khamosh Minaaro'n ki tarah..
-
JALAL MEHMOODI,
Bhadravathi.




Zulm seh kar bhi musalsal aah tak karta nahi..
Puchhte hain log mujh se be-zaba'n ye kaun hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.







Unka khayal Zeest ka gham Fikr-e-rozgaar..
2 din ki zindagani me kya kya kare koyi..

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.

urdu poetry part 221

Ye basti hai Behro'n ki chup isliye hun.. sunawu'n kise koyi sunta nahi hai..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
Chickballapur.




Naam tera jo ham ne likha ret par..
Mauj ki beqarari bhi badhne lagi..

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES,
Jamia abad. (Bhatkal)







Mera toh bas dil toota hai uski jhooti Qasmo'n se..
Un Qasmo'n ke badle lekin uska toh imaan gaya..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT




Ay sitamgar kuchh toh kar ehsaas uske dard ka..
Jiske Bete ko diya hai naam Dahshatgard ka..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.




Ameer-e-shehr ne lauta diya sayil ko ye keh kar.
Baha kar khoo'n paseena maal-o-zar mai ne kamaya hai.

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI







Tum toh kehte thay mujhe tum se mohabbat hi nahi..
Mez se meri chura kar le gaya tasweer kaun???

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)







Tujh se bichhda toh mita dunga mai khud ko aise.
Mai tere gham ke andhero'n me simat jaounga.

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi







Sayiba'n Maa ka aanchal hai ham par sada.
Aafate'n khoob aa aa ke talti rahi'n.

SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA,
Nimbahera. (Raj)









Ghar me rehte huwe ghairo'n ki tarah hoti hain.
Betiya'n dhaan ke paudo'n ki tarah hoti hain.

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA,
Kolkata