Friday, August 13, 2010

urdu poetry part 303

Labrez hain woh uske khazane toh aaj bhi..
Ham hi magar woh maangne wale nahi rahe..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Dene wala hai wahi Maang usi se lekin..
Pehle tu apni duawo'n me asar paida kar..

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI,
Bangalore...



Ye zamana
husn-o-shabab ka hai zamana chaar hi roz ka..
Tujhe naaz jis pe hai naznee'n woh tamaam umr raha nahi..

(BISMIL)



Ma'siyet se tu agar khud ko na rakh payega door..
Toh tera Rozah tere kuchh kaam aa sakta nahi..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI (BKL)



HADEES:
Prophet (pbuh) said:
A servant, if he acknowledges his sin & then repents, Allah will forgive him.
[Muslim (2770)]


Jhukegi kis tarah dunya tere Qadmo'n pe Ay nadaa'n.
Ke tu bazu-e-Haider ki hararat bhool baitha hai.

SHAYIR:
A.KHALIQ ANEES.



Dhutkaarna faqeer ko mehnga pada usay.
Kaasa-badast aaj woh phirta hai dar-ba-dar.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
(Karnataka)



Dukho'n ki dhoop seh kar jo suku'n ki chhao'n dete hain.
Hame'n kyun kar wahi budhe shajar achchhe nahi lagte.

KUSUM KHUSHBU



Hai maal jaha'n me ek fitna kyun iski tamanna karte ho.
Jo saath na jayega apne tum uska zakheera karte ho

(RAFFATH ASIFI)



Hukm-e-safar jo aaya toh rukhsat huwe makee'n..
Diwaar-o-dar pe likkhe huwe naam reh gaye..

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR.

urdu poetry part 302

Jo waqt-e-saher momin ki aankh se behte hain..
Woh ashk bujha sakte hain aag jahannam ki..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.



Kabhi bhi bheek ujalo'n ki teergi se na maang..
Khuda se maang Khuda ke siwa kisi se na maang..

SHAYIR:
RASHID RAJUPURI.



Apni ana ki laash pe royenge ek din..
Tan kar jo chal rahe hain adawat ki raah me..

SHAYIR:
WASIM MALIK, Surat.
(Gujarat)



Garmi hai tez Bhook hai shiddat ki Pyaas hai..
Ek Rozedaar ko teri rahmat ki aas hai..

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
(Deoband)



HADEES:
"Recite the Qur'an..
For on the Day of Resurrection, it shall come as an intercessor for its companion".
(Muslim)



Muflis ke ghar ka chulha jalaya nahi gaya..
Bachche taraste reh gaye iftaar keliye..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.



Kar rahe ho aabyari jhoot ki par soch lo..
Jis ne khaya is ke phal ko zayiqa kadwa mila..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
Shamli.



Agar khuloos ki garmi na us me shamil ho..
Namaz ho ke Azaa'n kuchh nahi hai kuchh bhi nahi..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)



Najane waqt kab karwat badal le..
Ghareebi par kisi ki mat hansa kar..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI,
Rajupur, Saharanpur.
(U.P.)



Ibadat gaaho'n pe har din nayi yalghaar hoti hai..
Ye dekho toh sahi ab kyun Ababeele'n nahi aati'n..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.