Wednesday, May 19, 2010

urdu poetry part 65

Usay bhi toh sataye gham kabhi
tark-e-ta'alluq ka.
Hami'n tanha
shab-e-hijra'n me kyun har baar Rote hain.

-
SHAMS Deobandi.




Ashraaf ki zamane me pagdi uchhal gayi..
Aur bad-nihaad
Saheb-e-kirdaar ho gaye..

SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore...





Kaise manzil pe pahonch payenge jaane waale..
Raasta bhool gaye raah batane wale..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal, (M.P.)





Apni beti ki taraf ghaur se dekho pehle.
Tum ko maloom ye ho jayega Aurat kya hai.

SHAYIR:
SABA DARBHANGVI,Darbhanga, Bihar.





Kheto'n me jo anaaj thay woh saare jal gaye..
Har samth kaisi aag ye barsa gayi hai dhoop..

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA, BIHAR





Jala rahe ho hamari beti jalawo lekin ye yaad rakkho.
Tumhari beti B ek na ek din kisi K ghar ki bahu banegi.
-
MAHTAB AAZAD





Mera Qatil tha magar mai ne Maseeha jana..
Jaal sazish ka kuchh is tarha bichhaya usne..

SHAYIR:
EHSAN Mukarrampuri.





Mohabbat ham bhi karte hain magar izhaar ki khatir.
Gareba'n phaad kar galiyo'n me chillana nahi aata.

SHAYIR:
Zia Karnataki





Anjuman sa tha jo kal zaat me khud apni NADEEM..
Jaane kya baat huwi aaj woh tanha hai bahut..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI





Ab mujhe dosti karne se bhi dar lagta hai..
Har bashar haath me phirta hai sharare lekar..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam

urdu poetry part 64

Har kisi ne shak ki nazro'n se unhe dekha yaha'n..
Unki thi itni khata k woh thay sarhad paar ke..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.





Ajdaad ne jo ki thi sharafat hamare naam..
Daulat woh aaj ham ne gawa di hai shehr me..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif.





GEEDAD pahen ke SHER ki khaal aa gaya toh kya..
Fitrat badalna apni kisi ko rava nahi..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.





Takra ke hadisaat se pathra gayi hai ye..
Utthti nahi kisi ki taraf ye nazar kabhi..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.





Ek roshni si phail gayi jism me tamaam..
Aa kar tere khayal ne kya kya maza diya..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal (M.P.)







Mai kucha-e-jana me chala jaawu'n toh lekin..
Ho jayega didaar zaroori toh nahi hai..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ
Deobandi.





Zindagi hai 2 din ki phir bhi dekhiye TALIB.
Pyar hai parinde ko kitna aashiyane se.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga,Bihar





Kab talak aaoge jaane ban ke suraj ki kiran..
Mai andhere me raha hun aap hi ke waaste.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.





Ghazal me dil ka sach shamil hai Khalid..
Hamari shayiri NOVEL nahi hai..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow (U.P.)





Yu'n toh kehte hain sabhi Ham jaan de denge magar..
Doosro'n ke waaste dunya me marta kaun hai ???

SHAYIR:
IBN-E-HASAN


urdu poetry part 63

Dozakh ki aag usko jalayegi kya bhala..
Jiski zaba'n pe
zikr-e-khuda-O-rasool ho..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali,
(Karnatak)





Aflaak me azmat ke yuhi toh nahi charche..
Hai arsh ke maalik ka MEHB00B madeene me..
(S.A.W.)

SHAYIR:
ILYAS RAHAT



Ha'n ishq-e-muhammad hi jannat ki zamanat hai..
Ab ishq-e-muhammad me ghar baar lutaane do.. (S.A.W.)

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA





Apni chadar ke hi saye me Muhammad (S.A.W) rakhna..
Jab Qiyamat me kahein koyi na saya hoga.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam





Ghadi thi subh-e-sadiq ki O pyara din doshamba ka.
Sada gunji
MUHAMMAD MUSTAFA
tashreef laye hain.
(S.A.W.)
-
SABA DARBHANGVI





Ham ne suna hai usko bhi Beti huwi hai aaj..
Jo jism Aurato'n ke sada bechta raha..

SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR,
Bangalore.





Takra ke hadisaat se pathra gayi hai ye..
Utthti nahi kisi ki taraf ye nazar kabhi..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.





GEEDAD pahen ke SHER ki khaal aa gaya toh kya..
Fitrat badalna apni kisi ko rava nahi..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.





Ajdaad ne jo ki thi sharafat hamare naam..
Daulat woh aaj ham ne gawa di hai shehr me..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif.





Har kisi ne shak ki nazro'n se unhe dekha yaha'n..
Unki thi itni khata k woh thay sarhad paar ke..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.






urdu poetry part 62

Yu'n toh har cheez banayi hai Khuda ne lekin..
Aap Qudrat ke hain shahkaar Rasool-e-arabi..
(S.A.W.)

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM





Yuhi hi nahi meri aankho'n me
ashk-e-gham AAZAD.
Rula rahi hai tamanna Madine jaane ki.

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD DEOBANDI (U.P.)





Nabiyo'n me Muhammad hi ko meraaj huwi hai.
Allah ke MEHB00B hai Sultan-e-madeena.
(S.A.W.)

SHAYIR:
Ramachandra
"RAJ PREMI".





Aap ki deed ka mushtaq hai ye dil kab se..
Pura kab hoga ye armaan
Rasool-e-arabi (S.A.W.)..

SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI





Tum na hote toh ye dunya bhi na hoti AAQA..
Aap se mil ke hi paya hai KHUDA ko ham ne..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam





Hade'n sidratul muntaha par khinchi hain..
Magar unse aage maqam aap ka hai..
(S.A.W.)

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.





Dunya ki mohabbat ab kya khaak samayegi.
Aaqa ki mohabbat se bharpoor ye seena hai.
(S.A.W.)

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam, Hubli





Andhera kufr ka chhaya tha charau wor aalam me.
Hidayet ki shama lekar shahenshah-e-umam aaye. (S.A.W.)

SHAYIR:
IBN-E-HASAN





Khusha-Qismat k hai MUKHTAR tera naam bhi un me.
Shafa'at jinke hisse me Rasulullah ki aayi.
(S.A.W.)

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI

urdu poetry part 61

Daman ko apne HOLI manane ke naam par.
Mazloom ke Lahu se woh rangeen kar liya.

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
___________________







Gham-e-hayat pe Rang-e-suroor chha jaaye..
Zara sa Dast-e-hinayi badha hamari taraf..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam, Hubli.





Das gayi mehengayi sabko kaisi HOLI kya khushi..
Rang aayenge kaha'n se ghar me jab roti nahi..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT





Chehre pe gar lagawu'n toh na aana tarang me.. Laayi hun PYAR bhar ke mai HOLI ke rang me..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam







Phoolo'n ke rang jaise ho'n nikhre bahaar me..
Rang-e-gulaal chehre pe bikhra hai is tarah..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT





Imaan ki hai sharth mohabbat Rasool ki..
Wajib hai momino pe ita'at Rasool ki..
(S.A.W.)

SHAYIR:
SYED ABUBAKER Bhatkali.





HADEES:
Prophet (pbuh) said
Whoever loves my way of life loves me, and whoever loves me will b with me in Paradise.
(Tirmizi)





Ahmad-e-mujtaba hain Khuda ke Rasool..
Isliye itne pyare hain unke usool.. (S.A.W.)

SHAYIR:
Jawwad Hasan Jawwad,
Bangalore.





Tamanna hai Ilahi ek muddat se ye ASLAM ki..
Muhammad mustafa ka khwab me didaar ho jaaye.. (S.A.W.)

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM





Haram unpe hai dozakh ye wada hai Rab ka.
Rasool-e-makki O madani ke jo bhi aashiq hain. (S.A.W.)


SHAYIR:
NADEEM FAROOQI

urdu poetry part 60

Agar Dushman ke haatho'n lut gaye hote toh gham kya tha..
Yahi hai gham k apne Dosto'n ne ham ko loota hai..
-
Zia Karnataki.




Kyukar mai apne aap ko samjhu'n k haq pe hun..
Dunya mere khilaaf huwi hai abhi kaha'n ???


SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali...




Meri khushiyo'n ke charagho'n ko bujhaya usne..
Aur ek umr mujhe khoon rulaya usne.


SHAYIR:
Ehsan Mukarrampuri,
Bihar.




Mai Insaa'n banne nikla tha k Shayir kar diya Rab ne..
Basarat ke tajassus me Baseerat mil gayi mujh ko..
-
FAIYAZ SHAKEEB






Padhta bhi koyi kaise k chehra safaid tha.
Dil tak hi rakkhi ham ne jo dil par guzar gayi.


SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow




Khud aag laga kar ham dharti ki baharo'n me..
Ab dhoondne nikle hain sukh chain sitaro'n me..


SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...




Mujh ko mil jayegi SHAYISTA andhere se najaat.
Meri raato'n me woh aaye toh ujala ban kar.


SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL, BHOPAL.




Dushmani ki tarah itni aasa'n nahi..
Hausla chahiye Dosti keliye..


SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi,
Saharanpur. (U.P.)




Kitna hasee'n sama tha mohabbat ka in dinau'n.. Nafrat ki aag kis ne lagadi hai shehr me..


SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif.




Mat banaya keejiye Rukhsaar pe kajal ka til..
Dekh lega aap ko toh Chand bhi sharmayega.


SHAYIR:
SABA DARBHANGVI, Bihar.

urdu poetry part 59

Apni tabahiyo'n me hamara hi haath tha..
Kyukar kisi se
shikwa-e-halaat keejye..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.





Jinko har gaam pe ruswayi ka dar rehta hai..
Zindagi me woh nibhayenge mohabbat kaise..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.





Mai phir se haru'n yaar zaroori toh nahi hai..
Jeetega tu har baar zaroori toh nahi hai..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ
Deobandi.





Zamane bhar ke ghamo'n se najaat mil jaaye..
Qareeb aao k mujh ko hayat mil jaaye..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal.





Teri chahat me jaa'n nikle yahi hasrat hai bas dil ki..
Tere kuche me marne ki tamanna dil me rakhte hain..
-
SIBTAIN PARWANA





Aa hi jaati thi bahaare'n gul bhi khilte thay magar..
Mosam-e-gul is qadar pehle kabhi mehka na tha..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT





Dar ke mai dhoop se saaye me chala aaya tha.
Ye khabar kab thi k jal jayega daman mera.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.





Hawadisaat ko tarteeb de ke rakh du'n agar..
Gham-e-hayat mukammal kitab ho jaaye..

SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore...





Maazi ka tazkira na abhi chhediyega phir..
Jo zakhm bhar chuka hai usay mat hara karo..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...

urdu poetry part 58

Khat likha usne na puchhi khairiyet meri kabhi..
Mere ghar ka jo pata woh le gaya tha kya huwa..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM



Sach chale har ek janib ye kaha'n hai ab mumkin..
Jhoot ka magar sikka jag me saare chalta hai..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...


Us bewafa ki yaad ka
mosam guzar gaya.
Ashko'n ke phool
palko'n ki shakho'n se jhad gaye.

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.



Dil toot gaya lekin aawaz nahi aayi..
Aankho'n se magar paiham ashko'n ki rawani hai..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.


Ye soch kar hawa me jalaya hai ek charagh..
Maa ki duaaye'n saath hain toofa'n ka khauf kya..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
DEOBANDI


Please co-operate with us by persuading ur dear ones to activate GHAZAL4U

For activation:
sms
START GHAZAL4U
to
09223050606


Dene wala hai wahi Maang usi se lekin..
Pehle tu apni duawo'n me asar paida kar..

SHAYIR:
Zia Karnataki,
Bangalore...


Maghribi behki hawaye'n chhu gayi'n shayed tujhe..
Isliye sar se dupatta hai tera sarka huwa..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT



Mash'hoor bahut hun mai mera naam bahut hai..
Barbaad mujhe karne ko ilzaam bahut hai..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.



Maghribi behki hawaye'n chhu gayi'n shayed tujhe..
Isliye sar se dupatta hai tera sarka huwa..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT

urdu poetry part 57

Rashk toh karte ho RAHAT tum mere ash'aar par..
Dil ke zakhmo'n ko agar dekha toh cheekh utthoge tum..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT





Desh ki janta ka batwara kar ke desh ke bhakto'n ne..
Dekhi apni apni jholi kisko kya khairaat mili.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT





Mera dil hai ye saraye toh nahi hai koyi..
Jab bhi chahe koyi aajaye aur chala jaye..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam





Woh hi mere khoon ka pyasa nazar aata hai ab..
Jisko samajha tha mai apni zindagi
IBN-E-HASAN..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali





Woh din bhi muqaddar thay jo saath guzaare thay.
Ab bakht hai tanhayi aur yaad purani hai.

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.





Meri Qismat me agar phool nahi tha koyi..
Mere daman me gaye raat mahekta kya hai ???

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.





Zindagi tere liye dard ke saare chehre..
Apne naghmo'n ke tabassum me chhupaye ham ne..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal...





Kaana ho k Behra ho k Langda ho k Lula..
Insaan ka har nuqs chhupa deti hai daulat..

SHAYIR:
SYED ABUBAKER Bhatkali..



Dildaar mera ARSHAD itna hi muhazzab hai..
Deta hai mujhe jitni tahzeeb se gaali woh..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif...





Ghairo'n ki ye sazish hai apnau ka ishara hai..
Kis tarha bataye'n ham kis ne hame'n mara hai..

SHAYIR:
Ehsan Mukarrampuri.






urdu poetry part 56

Kis tarah mai ne guzare hain shab-o-roz mere..
Kya tujhe yaad nahi mujh ko rulane waale..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal.



Mera naseeb agar mera saath de dega..
Woh mere haath me khud apna haath de dega..

SHAYIR:
Shameem Kiratpuri, Deoband.





Khaar-o-khas se dosti rakhna bahut mahenga pada..
Dekhte hain SHAMS nafrat se gul-o-lala mujhe..

SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI





Azbar hai lafz lafz sabaq ki tarah mujhe..
Tu dastan-e-gham meri chahe jidhar se poochh..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali...



Aayi hai agar subh toh phir raat bhi hogi..
Sooraj ke parastaar tujhe maat bhi hogi..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.





Milne ko ham se woh bhi tadapte hain us taraf..
Bechain aashiqi me akele hami'n nahi..

SHAYIR:
YAHYA AL-WASIQ Deobandi.





Mandir Masjid ki azmat ka donau rakkhe'n paas.
Tum bhi apna Roza rakkho mai rakkhu'n Upvas.

SHAYIR:
PANDIT PARAMVIR
KAUSHIK.





Mere hanste huwe honto'n ko toh dekha sab ne..
Meri chhalki huwi aankhe'n na kisi ne dekhi..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam





Tu nazar se door hai lekin nahi mujh se juda..
Dil ki waadi me Mahekte hain teri yaado'n ke gul..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK





Baith ke chaurahe pe SABA jo din bhar hansta rehta hai..
Raat ko ghar me rota hoga aisa bhi ho sakta hai..
-
SABA DARBHANGVI






urdu poetry part 55

Ya-Khuda tera karam aur ye inayet hai teri..
Meri Qismat me likha tha k Musalma'n hona..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD





Mehsoos toh hota hai dekha hai kahein tum ko..
Kuchh yaad nahi aata Kya naam tumhara hai..

SHAYIR:
EHSAN Mukarrampuri.





Aur ho umr tere
zulm-o-tashaddud ki daraaz.
Ham sitamgar ye tere haq me dua karte hain.

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali,
(Karnatak)





Suna hai usne basa di hai ghair ki dunya..
Mai jiske waaste khud ko mitaye baitha hun..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD, Deobandi (U.P)





Tu aa ke mujhe ab mere khwabo'n me mila kar..
Dunya ko mera tera milan raas nahi hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.





Aaj bhi aksar uske meethe bol sunayi dete hain..
Jabke uski soorat dekhe
ek zamana beet gaya..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali





Dushmano'n se bach ke nikle thay magar.
Dosto'n me aa ke SURAJ lut gaye.

SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
Neel kanth nagar,
Hari Har





Mera dukh dard me jo saath diya karta tha..
Wahi khushiyo'n se meri aaj paresha'n kyun hai..

SHAYIRAH:
NAGHMA KARNATAKI





Mai dhaani-rut ko tere naam se chanchal banata hun.
Tabassum se mai bijli Zulf se badal banata hun.

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA





Ye baharo'n ke nazare ye Phool ye Chanda.
Jab se dekha hai tumhe kuchh nahi achha lagta.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari

urdu poetry part 54

Laazim hai tum pe isliye parde ka ehtimam..
Sab se haseen cheez ho tum kayinat ki..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar, U.P.





Bakhsa tha jo Khuda ne unhe aaj woh maqam..
Afsos khud hi bhool ke baithi hain aurate'n..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
______







Sinf-e-naazuk ka ye tohfa jo Khuda ne bakhsha..
Tum pe lazim hai k tum inke nigehban raho..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.





Aurat hi ke dam se hai munavvar ye zamana..
Allah ka sab se bada inaam hai Aurat..

SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam, Bhatkal.





Yu'n hi tanha mai guzarunga jawani apni..
Sochna mat k teri yaad me mar jawunga..

SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI,
Bhatkal..







Gham-e-dunya
Gham-e-uqba
Gham-e-furqat
Gham-e-jana..
Guzarti hai ajab si kashmakash me zindagi mer..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM





Bas ek aap hi nahi jo beqaraar hain yaha'n.
Mera sukoon-e-dil bhi toh janab koyi le gaya.

SHAYIR:
Zia Karnataki,
Bangalore.





Woh zindagi ka dars mujhe de raha hai jo..
Rakhta tha khud-kushi ka irada abhi abhi..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif





Tum jo kehte ho badi hai toh badi hai dunya..
Warna dekho mere qadmo me padi hai dunya..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Akola.

urdu poetry part 53

Aashna se chehre bhi aashna nahi lagte..
Aa gaye hain ham shayed ajnabi diyaro'n me..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi. (U.P.)





Kya jaane khabar kaisi liye aayega Qasid..
Pehle se mere seene me kohraam bahut hai..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.





Ghairo'n ke jhoot pe unhe imaan aa gaya..
Aur meri sachchi baat ka bilkul yaqee'n nahi..

SHAYIR:
YAHYA AL-WASIQ
Deobandi.





Hawas ka naam logo'n ne Mohabbat ab ke rakkha hai.
Mohabbat ko Mohabbat isliye kehta nahi hun mai.

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.





Ch****'n yaado'n ki baqi reh gayi hain..
Mai ek toota huwa kachcha maka'n hun..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal....







Ye zindagi Aaghaaz hai Anjaam ki parwa karo..
Achha kaho
Achha suno
Achhe bano
Achha karo..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore





Sazish me ham kisi ki na shamil kabhi huwe..
Ilzaam koyi ham pe lagaye toh kya kare'n ???

SHAYIR:
Zia Karnataki,
Bangalore.





Naslo'n ko sar uncha rakhna sikhlawo..
Vurasa ko virse me shoukat mat dena..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur.





Bikne waale ho'n jo chand niwalo'n me..
Aise kamzarfo'n ko izzat mat dena..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur...





Manzil ki samth badh gaye kitne hi Qafile.
Ek naqsh-e-pa ki tarha yahein reh gaya hun mai.

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore

urdu poetry part 52

Tu na bole toh mai bechain si ho jaati hun..
Mere aangan ke ghane ped ki BULBUL tu hai..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.





Jisne Kaante bikhere qadam dar qadam..
Uski raaho'n me mai Gul
bichhata raha..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Jayanagar,
Bangalore.





Ishq waalo'n ki tarah narm mera dil ho Khuda..
Husn waalo'n ki tarah tu isay faulad na kar..

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA,
Bihar.





Ishq waalo'n ki tarah narm mera dil ho Khuda..
Husn waalo'n ki tarah tu isay faulad na kar..

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA,
Bihar.





Zamane bhar ko
basad-shoq izzate'n bakhsho..
Magar zaroori hai khud ko bhi mohtaram rakhna..

SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI.



Tum se milte hi samajh me aa gayi...
Woh paheli pyar kehte hain jise...

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari,
(U.P.)





Subh ki pehli kiran se doobti har shaam se..
Mai ne aksar tere ghar ka raasta puchha kiya..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, Bihar.





Ho na jaaye'n aap ki ruswayiya'n ye soch kar..
Sabt ki hai
mohr-e-khamoshi labo par aaj bhi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.





Har qadam par usay paspa hi kiya hai RAHI..
Jin mahazo'n pe mere saath ladi hai dunya..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Akola...





HAPPY NEWS:
Agar aap GHAZAL4U k Shora ki mukammal ghazlo'n se lutf andoz hona chahte hain toh padhte rahiye.

"BATOOL DIGEST"






urdu poetry 51

Hame'n sharm-o-haya ka dars aise log dete hain..
K jin ko apni laghzish par bhi sharmana nahi aata..

SHAYIR:
Zia Karnataki.





Jab na tha dunya me koyi dekhne wala mujhe..
Aasra gham ne diya aur dard ne pala mujhe..

SHAYIR:
SHAMS Deobandi, (U.P.)





Ehsaas jurm ka tumhe hota bhi kis tarah..
Dil par tumhare chot lagi hai abhi kaha'n ???

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali,
(Karnatak)





Bhula de tu mujhe ye toh kabhi b ho nahi sakta.
Tere kamre me aaweza'n meri tasweer ab bhi hai.

SHAYIR:
EHASAN Mukarrampuri.





Rakshak toh ang ke hain
Kya hoga aatma ka.
Chalti nahi kisi ki
Parmatma k aage.

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif,
Chickballapur





Koyi shareek hai gham me na shaadmani me..
Khud apni zaat me jeena bhi ek saza hai ab..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal.







Kabhi iqraar karte hain Kabhi inkaar karte hain.
Magar ye baat sach hai O hami'n se pyar karte hain.

SHAYIR:
YAHYA AL-WASIQ