Tuesday, August 17, 2010

urdu poetry part 307

Jinhe'n bharosa nahi apne dast-o-baazu par..
Woh log koste rehte hain Baap Daado'n ko..

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)



Mil gaya Sulaima'n ko dars ek machhli se..
Hai Khuda ki Qudrat kya Banda-parwari kya hai..

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.



Dunya zamee'n se aaj falak par pahonch gayi..
Ham haath ki lakeer me uljhe hi reh gaye..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, (Bihar)



Nigal na jaye andhera tumhari naslo'n ko..
Lahu jalao charagho'n me roshani keliye..

SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
(Balrampur)



The most perfect believer in faith is the one whose character is finest and who is kindest to his wife.
(Tirmidhi and Nasai)



Azmate'n charagho'n ko roshani se milti hain.
Koyi bhi andhero'n ka hamnawa nahi hota.

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
(Deoband)



Be shak hame'n bhi nek hidayet naseeb ho..
Lekin kabhi gunaho'n se tauba toh ham kare'n..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.



Taish ke aalam me woh MAA ko bura kehta raha..
Woh magar sab bhool kar usko dua deti rahi..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI, (Bhatkal)



Bharosa itna mujhe uski dosti ka tha..
Ke uske haath ka khanjar nazar nahi aaya..

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
Pathankot.



Dukh dard ki rudaad sunawu'n mai kise ab..
Munis bhi ye kehta hai ke Qissa sa lage hai..

SHAYIR:
SYED BHATKALI,
(Karnataka)

urdu poetry part 306

Jisne Mabaap ki khidmat ka maza chakkha hai..
Usko maloom hai Allah ki rahmat kya hai..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Sach toh ye hai
ranj-o-gham hi us se behtar hai RAZA..
Dil dukha kar ho jo hasil woh khushi achchhi nahi..
-
SYED HAIDER RAZA



Hai janaze par jama zardaar ke
jamm-e-ghafeer.
Marg-e-muflis par yaha'n aansu bahata kaun hai??

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali



Gumrahiyo'n ke utne hi khulte rahenge dar..
Jitne bhi door hoge Khuda ki kitaab se..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Prophet (pbuh) said:
May Allah brighten the face of the person who hears what I say & retains it, then conveys it to others.



Siyasi aag ke chulhe pe jo taiyar karte hain.
Ham aise Luqma-e-tar se kaha'n iftaar karte hain.

SHAYIR:
WASIM MALIK, Gujarat



Yaha'n mazboot se mazboot Loha toot jata hai.
Kayi jhoote ikhatte ho'n toh Sachcha toot jata hai.

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Badaun



Farogh-e-ilm ka maqsad Amal ka saath hona hai..
Magar afsos insaa'n ye rafaqat bhool baitha hai..

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES



Ghareeb insa'n kaha'n Daulat ki kheti kaat payega..
Yaha'n jo Rupya boyega wahi Dollar ugayega..

SHAYIR:
MASROOR TABISH.




Uske saare Aaib daulat ne bana daale hunar.
Mai sarapa bojh hun Sau khoobiyo'n ke baad bhi.

SHAYIR:
RASHID RAJUPURI, (U.P.)