Thursday, September 16, 2010

urdu poetry part 335

Mohabbat Dosti Ikhlaas Hamdardi Wafadari..
Nahi hai inka kuchh matlab ye hain bekaar ki baate'n..

SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI.





Saani tera nahi hai hazaro'n me ek bhi..
Jaise koyi Gulaab chaman me khila huwa..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur.





Go hazaar mod aaye'n sar-e-rahguzaar lekin..
Teri rahguzar se aage koyi raasta nahi hai..

SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI. (U.P.)





Ye na samjho ke andhero'n ki duhayi dunga..
Mai bujhunga toh charagho'n me dikhayi dunga..

SHAYIR:
WASIM MALIK,
(Gujarat)





Diye ki misl jale jinki bazm ki khatir..
Bitha gaye hain wahi dost ham ko raaho'n me..

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI,
(Karnataka)





Qubool kar na sake'n jisko tere ghar ke log..
Tu us Ghareeb ki Beti se pyar mat karna..

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
(U.P.)





Suna toh di hai unhe daastan-e-gham lekin..
Jo ham ne poochha toh bole suna nahi kuchh bhi..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA.





Najane kitni nigaho'n ne Be-Libaas kiya..
Usay shabab ki sarhad se paar hone tak..

SHAYIR:
JAVED AASI,
Rajupur. (U.P.)





Dushman Qadam Qadam pe ta'aaqub me ho'n jaha'n..
Behtar hai us maqaam se hijrat kisi tarah..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.





Aaj bhi aksar uske meethe bol sunayi dete hain..
Jabke uski soorat dekhe
ek zamana beet gaya..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

urdu poetry part 334

HAPPY NEWS:
Many famous
URDU POETS of India have joined GHAZAL4U,
Enjoy their Couplets on your mobile along with their names.



Ham toh Khushbu sa hawawo'n me racha karte hain..
Aur chupke se tujhe roz chhuva karte hain..

SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU. 





Kyun kisi ki chahat me raat din tu rota hai..
Aaj ke zamane me kaun kiska hota hai..

SHAYIR:
SABA DARBHANGVI,
(Bihar)





Na aashna na kisi ajanbi se puchhenge..
Ham uska haal kisi din usi se puchhenge..

SHAYIR:
MASROOR TABISH,
Rajupur. (U.P.)





Maathe se ponchhte hain paseena Ba-har Qadam..
Tay zindagi ka aise safar kar rahe hain ham..

SHAYIR:
ISHWAR DATT ANJUM.





Ek baar jo dekha hai tera husn-e-mujassam..
Wojhal meri aankho'n se ye jalwa nahi hota..

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.





Raato'n ki neend Din ka suku'n Dosto'n ka pyar..
Sab kuchh bhula diya hai gham-e-rozgaar ne..

SHAYIR:
RASHID RAJUPURI.





Shama toh kab se roshan hai magar afsos hai ke ab...
Tawaf-e-shama karne ko nahi aata hai parwana...

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI.





Baad muddat ke unhe aaya hai mera aitibaar.
Aa gaye hain Qabr par Aansu bahane keliye.

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES,
(Bhatkal)