Thursday, June 10, 2010

urdu poetry part 244

Dear lovers of urdu poetry,now you can enjoy Romantic and Separational urdu cuplets on ur mobile which are absolutely FREE For activation send sms 
START GHAZLA4U
09223050606


Apne jeene ke maqasid ko toh samjho pehle..
Tab hi aayega samajh me k zindagi kya hai..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Dekha toh nahi usko armaa'n hai usay dekhe'n..
Khinch jaati hai jo aksar tasweer nigaaho'n me..

SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA



Pur-amn thay jo log woh firqo'n me bat gaye..
Diwaar khudsaro'n ne utha di hai shehr me..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF



Mai toh tha simta huwa ek boond tha mera vujood..
Jab chhua tum ne toh Qatre se samandar ho gaya..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT



Dil me rehta tha aankho'n se hota huwa..
Woh gaya meri palke'n bhigota huwa..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore. (Karnataka)



Khushiyo'n ki aarzu liye phirta tha gham mile..
JAWWAD kya talab thi zamane ne kya diya..

SHAYIR:
JAWWAD HASAN JAWWAD



Aaj usko dekh kar aankhe'n munawwar ho gayi..
Ho gayi thi ek sadi jis shakhs ko dekhe huwe..

SHAYIR:
RAJENDRANATH REHBAR



Chand lamhe bhi na guzre hain mile unse magar..
Phir se milne ki tamanna hai dil-e-betaab me...

SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.