Saturday, July 10, 2010

urdu poetry part 271

Tha aasma'n pe chaand munawwar tamaam raat.
Zulmat-kada tha phir bhi mera ghar tamaam raat.

SHAYIR:
ROUNAQ AAZAMI,
Chennai.




Kab tak chalegi paani pe kaghaz ki naao hai.
Tum jo bhi sochte ho khayali palaao hai.

SHAYIR:
HANEEF SHAH SHABNAM Bhatkali.


Ek tamasha muflisi ka ham dikhane aaye hain..
Waise ye toh shehr-e-zar hai dekhye hota hai kya..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI.



Dil me RAHAT phir bhi koyi khauf sa rehta hai kyun..
Go ke meri Laadli ke haath peele ho gaye.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT (U.P.)



Gar samajhta hai tu apne waaste mujh ko Gulaab..
Khaar ban kar meri rakhwali bhi karna seekh le..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.


HAPPY NEWS:

Dear lovers of urdu poetry,

Now you can enjoy Romantic & Separational urdu couplets on ur 

mobbile which are absolutely FREE.



for activation:
sms

START GHAZAL4U

And send it to 09223050606


 

urdu poetry part 270

Tere ek din na aane se mai pyasa mar na jawunga.
Mai sahil hun yaha'n maujo'n ka aana jana rehta hai.

SHAYIR:
NAAZ Kumtavi.



Shaakh par phool jaisa laga tha mujhe..
God me MAA ki bachcha woh sota huwa..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
(Karnataka)



Jin charagho'n ki hifazat kar nahi paye thay ham..
Un Charagho'n ki hifazat Ab Hawa karne Lagi..

SHAYIR:
HAMSAFAR Kumtavi.



Jiska ek ek pal laga jaise ke ho ek ek sadi..
Bin tumhare ham ne aisa bhi guzara ek din..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.


Jiska ek ek pal laga jaise ke ho ek ek sadi..
Bin tumhare ham ne aisa bhi guzara ek din..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.



Jin charagho'n ki hifazat kar nahi paye thay ham..
Un Charagho'n ki hifazat Ab Hawa karne Lagi..

SHAYIR:
HAMSAFAR Kumtavi.



Aansu baha baha ke sabhi khatm ho gaye..
Aankho'n ko tere hijr ne patthar bana diya..

SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL,
Bangalore.



Shaakh par phool jaisa laga tha mujhe..
God me MAA ki bachcha woh sota huwa..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
(Karnataka)



Tere ek din na aane se mai pyasa mar na jawunga.
Mai sahil hun yaha'n maujo'n ka aana jana rehta hai.

SHAYIR:
NAAZ Kumtavi.

urdu poetry part 269

Bheegti hun mai hamesha isliye barsaat me..
Ashk aankho'n se jo dhalke toh chhupa leti hai woh..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK



Meri janib se kisi ka dil na toote isliye.
Apne honto'n par shikayet mai kabhi lata nahi.

SHAYIR:
NOOR AFAQUE,
Vaniyambadi.



Khud-daar hun guzar gaya daman sikod kar.
Raaho'n me yu'n toh mujh ko ujale bahut mile.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Please co-operate with us by persuading ur dear ones to activate GHAZAL4U

For activation:
sms
START GHAZAL4U
to
09223050606



Apne dosto'n ke mobile par GHAZAL4U Activate keejye aur URDU SHAYIRI
ko ghar ghar pahonchane me hamare saath ta'awoon keejye.



Tum aansuwo'n se bujha lena tishnagi apni..
Samandaro'n ka kabhi bhi tawaaf mat karna..

SHAYIR:
ABDULLAH RAHI
Deobandi.



Ab mere paas teri nishani nahi koyi..
Ek khat bacha huwa tha woh darya ko de diya...

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA,
(Kolkata)



Kal raat nihatta koyi deta tha sadaye'n.
Ham ghar se magar khauf ke maare nahi nikle.

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
(Punjab)



Bachcho'n ki zindagi hai yu'n MAA-BAAP ke baghair.
Saya na jaise ho kahein sehra me door tak.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam



Ham ne aankho'n ki zameeno'n me thakan boyi thi.
Neend ke ped pe ab khwab uga karte hain.

SHAYIR:
ABDUL RAHMAN SAIF Deobandi

urdu poetry part 268

Ab saanp kuchalne me mere kaam woh aayi..
Bekaar kabhi int jo aangan me padi thi..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF
(Karnataka)


Jurm tha uska faqat itna ke woh ba-resh tha..
Is bina par usko Dahshatgard gardana gaya..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.



Buzurgo'n ki na hurmat hai na Qadr-o-manzilat koyi.
Ye bachche aaj kal k unko hi aankhe'n dik**** hain.

SHAYIR:
ILYAS AFAQUE



Khushiyo'n ke badle me tum ne mujh ko di hai bechaini..
Hanste gaate din maange thay sehmi sehmi raat mili..
-
SHAMEEM HAYAT


Ghair ke shaane pe jab se haath dekha hai tera..
Ham khuda se har ghadi bas maut hi maanga kiye..

SHAYIR:
HAMSAFAR Kumtavi.



Mujhe
haqeeqat-e-wadah ka ilm tha phir bhi..
Har ek lamha tera intizaar karna tha..

SHAYIR:
MUNEER RASHEEDI,
Krishnagiri.



Soyi huwi thi hasrate'n arsa daraaz se..
Usne chhua jo dil ko toh bedaar kar gaya..

SHAYIR:
TAHIR MALIK,
Saharanpur. (U.P.)



Qabl-az-parwaz apne bazuwo'n par kar nazar.
Phir bulandi naap lena kehkasha'n aur chaand ki.

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
(Bhatkal)



Maana ke ham Ghareeb hain tum Maal-daar ho.
Izzat Khuda ne di hai k uncha hai apna sar.

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES Bhatkali.



Ab kaanto'n se phoolo'n ki mahek aane lagi hai..
Is daur ke phoolo'n me chubhan dekh raha hun..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM.




urdu poetry part 267

Kisi din saamne aawo Hamare rubaru baitho.
Ye Telephone par baate'n hame'n achchhi nahi lagti.

SHAYIRAH:
ANU JASROTIA
(J&K)


Padh liya karte hain chehre se mizaaj..
Ab mere bachche siyane ho gaye..

SHAYIR:
NARESH PAUL NEHRA NISAR,
(Himachal pradesh)



Woh mohabbat bhi bahut karta hai ghussa bhi bahut.
Jaane is turfa tabi'at me chhupa hai kya kya.

SHAYIRAH:
VIROTTAMA SARGAM



Rone dhone ke bhi dastoor huwa karte hain.
Apne ashko'n me Lahu dil ka mila kar rona.

SHAYIR:
ISHWAR DATT ANJUM,
(New Delhi)



Karte rahenge ham bhi khataye'n nayi nayi.
Tajweez tum bhi karna Sazaye'n nayi nayi.

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
(Punjab)



Mohabbat kar ke ruswayi se darna bhi hai ruswayi..
Mohabbat ka hamesha dahr me charcha bhi hota hai..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB



Mujhe chahata koyi aur hai Mujhe poojta koyi aur hai..
Mai dua toh hun kisi aur ki Mujhe maangta koyi aur hai..
-
ILYAS RAHAT



Ajeeb mera hai ishq yaaro Ajeeb diwangi hai meri..
Mai uske Namay ka muntazir hun Jise kabhi Khat likha nahi hai..
-
BISMIL



Koyi us shakhs se puchhe ibadat kisko kehte hain..
Jo din bhar apne bachcho'n keliye RICKSHAW chalata hai..
-
WASIM RAJUPURI.



Tamaam umr jise
jaam-e-zindagi samjha..
Woh zehr ban ke rago'n me utar gaya yaaro..

SHAYIR:
IFTIKHAR AHMED IQBAL,
Hyderabad.


urdu poetry part 266

Mai tishna-labi apni ashko'n se bujha lunga..
Ek boond nahi lunga maghroor samandar se..

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI....



Hamara farz hai roshan kare charagh-e-wafa..
Hamare apne muwafiq hawa mile na mile..

SHAYIR:
ABDULLAH RAHI
Deobandi...



Gharq ho jaata hai sab kuchh ek burayi ke sabab.
Dhair saari nekiyo'n Achchhayiyo'n ke baujood.

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Akola.



Woh jiske waaste pardes ja raha hun mai...
Bichhadte waqt usi ki taraf nahi dekha...

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA,
(Kolkata)



Tamanna-e-resham ko rakhne se pehle...
Tu apna ye khaaki badan dekh lena...

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA, Katihari. (Bihar)



Baat toh jab hai ke ji le koyi gham k daur me.
Warna khush-haali me ji lena kise aata nahi.

SHAYIR:
NOOR AFAQUE,
Vaniyambadi



Shayed ye ittifaq hai mai sochta raha..
DANISH magar woh raah
me har baar mil gaya..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
(Karnataka)



Thi khabar kab ye mera chehra bhi padh sakti hai MAA.
Warna uske saamne bhuka na yu'n jata kabhi.

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI (BKL)



Log jalte hain toh jal jaaye'n bala se apni..
Naam ke saath tera naam laga rakkha hai..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.



Log mansoob tere naam se karte hain mujhe..
Naam tera mere maathe pe likha ho jaise..

SHAYIR:
HANEEF SHAH SHABNAM Bhatkali.

urdu poetry part 265

Kabhi shabnam toh kabhi barq-o-sharar lagta hai..
Aap ke pyar se aksar mujhe dar lagta hai..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI...


Mai aaj ki surkhi hun jabeeno'n pe likhi hun..
Mat phenkna kal ka mujhe Akhbaar samajh kar..

SHAYIRAH:
ANU JASROTIA.
(J&K)



Tang aa ke muflisi se woh nikli thi raat ko.
Barso'n guzar gaye hain woh bachchi nahi mili.

SHAYIR:
NAYEEM AKHTAR
Deobandi.



Taaro'n ke saath
aankh-macholi me shab kati..
Tanha pada raha mera bistar tamaam raat..

SHAYIR:
ROUNAQ AAZAMI,
Chennai.



Likhne wale ne muqaddar kya likha hai dekhiye..
Woh kisi ke ho gaye hain mai kisi ka ho gaya..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.



Log mansoob tere naam se karte hain mujhe..
Naam tera mere maathe pe likha ho jaise..

SHAYIR:
HANEEF SHAH SHABNAM Bhatkali.



Log jalte hain toh jal jaaye'n bala se apni..
Naam ke saath tera naam laga rakkha hai..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.



Thi khabar kab ye mera chehra bhi padh sakti hai MAA.
Warna uske saamne bhuka na yu'n jata kabhi.

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI (BKL)



Shayed ye ittifaq hai mai sochta raha..
DANISH magar woh raah
me har baar mil gaya..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
(Karnataka)



Baat toh jab hai ke ji le koyi gham k daur me.
Warna khush-haali me ji lena kise aata nahi.

SHAYIR:
NOOR AFAQUE,
Vaniyambadi




urdu poetry part 264

Anjaam se waqif hai magar jhoom raha hai..
Woh phool ke jo
shaakh-e-tamanna pe khila hai..

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR.



Khud nahi aaye nahi bheja koyi paigham tak..
Raah unki ham ne dekhi zindagi ki shaam tak..

SHAYIR:
ISHWAR DATT ANJUM.



Be-natija hi rahegi dil ki baazi dekhna..
Tum kahein ke na rahoge jeet kar ya haar ke..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA, (SHAMLI)



Bikti nahi har cheez kharidoge kaha'n se..
Milte nahi daulat se kabhi IZZAT-O-MABAAP..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Yu'n toh mai lut'ta raha tadbeer ke haato'n magar..
Zindagi bhar besabab taqdeer ka shikwah kiya..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI.



Husn-e-jamal-e-yaar in aankho'n me jazb tha.
Nazre'n lagi hamari toh dunya sanwar gayi.

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)



Ulajh na jaye'n kahein gardishe'n zamane ki.
Tumhari zulf paresha'n hai tum na saath chalo.

SHAYIR:
MUZAFFAR RAZMI Kairanvi.



Tumhare saath guzaare thay jo haseen lamhe..
Mujhe akele me aksar udaas rakhte hain..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Dear readers,
If u wish to enjoy Ghazals of ur favourite
GHAZAL4U'S Poets,
You are requested to read
BATOOL DIGEST.
Thank you



Niswaniyet ke naam pe dhabba hai badnuma..
Phenka hai jisne sar se dupatta utaar kar..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...

urdu poetry part 263

Zindagi ki uljhano'n se jab bhi ghabrane laga..
Mai kalaam-e-paak padh kar khud ko suljhane laga..

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI



Jaan payega bhala kaise woh raaz-e-kayinat..
Jo kabhi Qur'aan ki tafseer hi padhta nahi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.


Ye bekhabar nujumi tumhe kya batayenge..
Kal hone wala kya hai ye Qur'aan me padho..

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA,
(Kolkata)



Tu ne jise Lapait ke juzda'n me rakh diya..
Nadaan ! Hai wahi teri manzil najaat ki..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Mil jayegi janab tumhe daulat-e-suku'n.
Jeene ka tarz pawoge Rab ki kitaab se.

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore
(Karnataka)



Khushi se MAA ko kaha'n kuchh sujhayi deta hai..
Jo Beta haath me pehli kamayi deta hai..

SHAYIR:
PURAN EHSAN,
Pathankot.



Bete ka jurm kya hai ye MAA puchhti rahi..
Lekin woh bin bataye usay marte rahe..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
Bhatkal. (Karnataka)


Darya ne sookh kar mujhe hairaan kar diya..
Uss paar ka safar mera asaan kar diya..

SHAYIR:
Dr. Ravi zia,
Pathankot (Punjab)



Jin dosto'n ki mujh ko rafaqat pe naaz tha..
GOUHAR woh rafta rafta adakaar ho gaye..

SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore..



Mah-jabee'n gasht ko jab su-e-chaman jaate hain.
Mere ash'aar unhe dekh ke ban jaate hain.

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.

urdu poetry part 262

Ab wahi shakhs baghawat pe utar aaya hai..
Muddato'n jis ne mere ghar ka namak khaya hai..

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun (U.P.)


Khushi jab jab bhi aayi hai parayi si lagi mujh ko..
Ghamo'n ko jab bhi dekha jane pehchane nazar aaye..

(SYED HAIDER RAZA)



Jaan toh le li hai uski muflisi aur bhook ne.
Panchnama bhar ke Qissa khudkushi ka ho gaya.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore


Zinda na ho zameer toh Murda hai zindagi..
Phirte rahoge Laash ye lekar kaha'n talak..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif.


SARGAM Rasool-e-paak ki azmat toh dekhiye..
Parwardigaar aap ka khud mezbaan tha..
(S.A.W.)

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Shab-e-meraaj me kehne lage yu'n Qaum ke Haadi.
Khatao'n ko Ilahi bakhsh dena meri ummat ke.
(S.A.W.)

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI



Kyun kar na rashk us pe zamana kare bhala..
Ek pal me ho ke aaye jo arsh-e-khuda talak..
(S.A.W.)

SHAYIR:
ILYAS RAHAT.



Gaye meraaj me AAQA waha'n se aaye toh dekha..
Abhi zanjeer hilti hai abhi tak garm bistar hai..
(S.A.W.)
-
SABA DARBHANGVI.



Nabiyo'n me Muhammad hi ko meraaj huwi hai.
Allah ke MEHB00B hai Sultan-e-madeena.
(S.A.W.)

SHAYIR:
Ramachandra
"RAJ PREMI".



Shab-e-meraaj me khushya'n manayi thi farishto'n ne.
Khuda ne jab kaha
khair-ul-wara tashreef laye hain. (S.A.W)

ILYAS RAHAT