Friday, May 14, 2010

urdu poetry part 17

Dil kisi bhi MAA ka patthar ho nahi sakta kabhi..
Sangdil aulaad lekin ranj deti hai usay..


SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.


Asr-e-hazir ka bashar bhool gaya MAA ka maqam..
Aaj har shakhs nazar aata hai Biwi ka ghulam..


SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI


Woh kabhi pardes se mayoos lauta hi nahi..
Le ke ghar se jo gaya MAA ki dua pardes me..


SHAYIR:
SABA Darbhangvi,
(Bihar)


Har ek mushkil meri asaan ho jaati hai SHAYISTA..
Mujhe pardes me MAA ki duaaye'n yaad aati hain..


SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL

urdu poetry part 16

Zehn me mere aksar uljhane'n sulagti hain..
Kab milega chhutkara roz ke masayil se..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
(Bhopal)



Chidiyo'n ke chehchahe bhi agar nagawar hain..
Aangan me koyi ped lagate ho kis liye..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
(Bihar)


Jab jab mujhe bhulane ki koshish karogi tum..
Tasweer ban ke saamne aata rahunga mai..

SHAYIR:
RASHID JAMAL ANSARI,
(U.P.)



Choom leti hain jo
rukh-e-zaiba.
Ham se achhi hain baaliya'n teri.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari,
Ghari pukhta. (U.P.)



Meri ghazle'n jawaniya'n teri,
Tu shajar hai ye daliya'n teri.
Mere ash'aar teri baate'n hain,
Meri nazme'n kahaniya'n teri.



Teri yaado'n ka basera hai gulabo'n ki tarah.
Kyun na mahkega mere dil ka nasheman jana'n.

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore



AAZAD jiske waaste sab kuchh ganwa diya..
Mujh se mila hai woh bhi badi berukhi ke saath..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
Deobandi.



Tumhari yaad ne ab tak bacha ke rakkha hai..
Tumhari yaad na hoti toh mar gaye hote..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata...





Kis qadar aasaan hai
hansne ke fan ko seekhna..
Tum ko khushiya'n
chahiye toh muskurahat baant do..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama



Is baat par k mai ne tumhe'n pa ke kho diya..
Mera vujood mujh se gale mil ke ro diya..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.




urdu poetry part 15

Ji bhar ke mekashi ki na aaya khumar tak..
Dekha usay toh hone lagi bekhudi mujhe..

SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi. (U.P.)



Shab ko dil ka zakhm taza ho gaya..
Rote rote hi sawera ho gaya..

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI,
Sultanpalya,
R.T.Nagar,
Bangalore.



Bastiya'n barood ke dhero'n pe rakkhi hain yaha'n..
Ay k****eb-e-mohtaram shola bayani chhod de..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT



Agar ham zindagi ke
zer-o-bam se dar gaye hote..
Yaqeenan maut se pehle hi BISMIL mar gaye hote..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.



Nazdeek aa ke yu'n mere ghayib huwi hai woh..
Insaa'n nahi hai goya UDAN TASHTARI hai woh..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali...



Mit jaaye apne aap hi talkhi hayat ki...
Halaat-e-naarwa me agar muskurayiye...

SHAYIR:
YAQOOB ASALAM,
Vaniyambadi...



Ham ne labo'n ko pyar me takleef hi na di..
Aankho'n se bolne ka maza ham se puchhye..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
(Shamli)



Bheeg kar barish ke mosam me nikhar jaate ho tum..
Chupke chupke dil ke aangan me utar jaate ho tum..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT



Bana le showq se Bangla magar mat bhool
Ay nadaa'n..
Ye dunya aarizi hai ek din sab kuchh fana hoga..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN



Uske bando'n ke yaha'n raaz chhupaye jisne..
Hashr me aaib Khuda uske chhupa deta hai..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.

urdu poetry part 14

urdu Dil ke zakhmo'n ko kabhi khushk na hone denge..
Ham ne palko'n me chhupa rakkha hai sawan jana'n..


SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB


Chalte thay seena taan ke jo log bekhatar..
Saya woh apna dekh ke saaye se dar gaye..


SHAYIR:
ABDUL SAMAD RAHI,
Rajasthan.


Phool ki patti se bhi nazuk hai insa'n ka vujood..
Tod sakta hai magar ye saari dunya ka jamood..


SHAYIR:
SYED BHATKALI


Chadta sooraj poojna achchha nahi hai chhod de..
Dopaher ke baad phir woh doobta hi jayega..


SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH
Laut kar woh aa bhi sakta hai ye jab aaya khayal..
Hijr ki tareekyo'n me ek diya jalne laga..


SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK


Tahreer meri padh nahi payega woh kabhi.
Aankho'n se ashk gir ke bhigote rahenge khat.


SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL,
Bangalore.


Sangdil mujh ko tu patthar na samajhna hargiz..
Mom hun mai teri chahat me pighal sakti hun.


SHAYIRAH:
KHUSHBU SHARMA


Jo log sidq-e-dil se nib**** nahi hain pyar.
Milti hain unko
raah-e-mohabbat me thokare'n.


SHAYIRAH:
ZOYA TASKEEN,
Srinagar.


Dil me mere jab tum aaye mujh ko yu'n mehsoos huwa.
Dheere dheere jaise koyi CHAND samandar me utre.


SHAYIRAH:
Dr. Virottama

urdu poetry part 13

Jo diya karta tha sab ko zan-mureedi ka Laqab..
Aaj woh khud ban gaya hai apni Biwi ka ghulam..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali



MUKHTAR uski chaah ne chhoda kaha'n mujhe..
Jeena bhi nang sa hai toh Marna bhi aar sa..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.



Kangaal kar gayi meri darya-dili mujhe..
Dunya samajh rahi hai abhi tak sakhi mujhe..

SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi. (U.P.)



Pyar karta tha yu'n toh Ladakpan se hi..
Unko paane me lekin zamane lage..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari,
(U.P.)



Woh pyar kar chala hun k marne k baad bhi..
Aankho'n se teri neend udata rahunga mai..

SHAYIR:
RASHID JAMAL ANSARI,
(U.P.)



Mai toh ehsaas hun saanso'n me basa rehne do..
Tum mere naam se mujh ko na bulaya karna..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.

urdu poetry part 12

Woh jisko samjhe thay ham na-khuda wahi aakhir..
Hamari kashti-e-dil ko bhanwar me chhod gaya..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI



Ham toh kisi ko dil ki na apni suna sake.
Yu'n toh mile thay dost magar motabar na thay.

SHAYIR:
SYED BHATKALI,
(Karnataka)



Khud ki nazar lage na kahein is liye Nizam..
Aayina saamne se hata kar Ghazal kahi..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam.
(Hubli)



Jisne bakhsha hai ye jeevan hai amanat uski.
Zinda auro'n ko bhi rehne do jiwo tum khud bhi.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam



Dushman jo harame hain rafeeqo'n se hain behtar.
Peechhe se nahi karte hain ye unki tarah waar.

SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI





Kar rahi hai maut peechha zindagi ka is tarah.
Jaise Bulbul ke ta'aqub me koyi Saiyad hai.

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.



Phir falak pe chaand nikle doodhiya si raat ho..
Jab bhi ham tum milne aaye'n phir wahi barsaat ho..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT



Ban sanwarne me lagi rehti thi bachpan me sada.
Ek muddat ho gayi ab aayina dekhe huwe.

SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL,
Bangalore.



Jeet kar bhi haar di hai aap ne nafrat ki jang.
Haar kar bhi ham ne baazi pyar ki haari nahi.

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)



Mere sher kehne k shughl par thay khafa khafa se sabhi magar.
Ye junoon hi mere dosto mere dard-e-dil ki dawa huwa.

-BISMIL

urdu poetry part 11

Kis samth chal padi hai meri kashti-e-hayat.
Mauj-e-nafas najane kaha'n le chali mujhe.


SHAYIR:
FAROOQ FARHAT,
Vaniyambadi.


Woh hamare haq me bolenge hame'n ummeed thi..
Waqt aaya bolne ka woh magar khamosh hain..


SHAYIR:
SYED BHATKALI,
(Karnataka)


Kis samth chal padi hai meri kashti-e-hayat.
Mauj-e-nafas najane kaha'n le chali mujhe.


SHAYIR:
FAROOQ FARHAT,
Vaniyambadi.

poetry part 10

Samajh rahe hain woh Gulchee'n ko
Paasban-e-chaman..
Gulo'n se keh do k ab gulsita'n ki khair nahi..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM



Kabhi deta hai woh khushiya'n Kabhi dil bhi dukhata hai.
Khuda bande ko apne har tarah se aazmata hai.

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ



Meri barbadi ka charcha ho raha hai har taraf..
Dar rahi hun naam tera bhi na aa jaaye kahein..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK



Dunya ki mushkilaat pe ghalib rahunga mai..
Bas aap ki taraf se zara hausala mile..

SHAYIR:
SALMAN ZAFAR ANJAN
*******




Zindagi ki dawd me aisa bhi aksar ho gaya..
Uske peechhe bhaagte rehna muqaddar ho gaya..

SHAYIR:
MATEEN ANSARI.
(Pune)


Meri ghazlo'n ka har ek lafz mahek uttha hai..
Tere phoolo'n se labo'n ne jo chhuwa hai usko..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
(U.P.)



Rooth jaogi to mana lunga,Dil k andar tumhe basa lunga.
Lakh aansu ho'n meri aankho'n me,Tum kahogi to muskura lunga.

HAIDER



Manzil zaroor aayegi Qadmo'n me ek din.
Ye soch kar hi koyi musalsal safar me hai.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga (Bihar)



Jeene ki justju hai na marne ki aarzu..
Layi hai kis maqam pe ye zindagi mujhe..

SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi. (U.P.)



Dushman jo Hamare hain rafeeqo'n se hain behtar.
Peechhe se nahi karte hain ye unki tarah waar.

SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI

poetry part 9

Ek baadal sa mere sar pe raha karta hai..
Koyi mere liye har waqt dua karta hai..


SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore...


Ab koyi meel ka patthar na koyi naqsh-e-qadam.
Kaun jaane hai abhi kitna safar baaqi hai.


SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.




Phir khilono'n ki duka'n par pad gayi uski nazar..
Le ke mazdoori ke sikke jab woh ghar jaane laga..


SHAYIR:
ZIA KARNATAKI




Samandaro'n pe hukoomat rahi kabhi jiski..
Woh shakhs aaj magar tishnagi se ladta hai..


SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi.


Gham-e-firaq me ro ro ke raat bhar mai ne..
Tumhara naam likha aansuwo'n se takye par..


SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL,
Bangalore.


Mil ke ek baar woh dobara nahi phir milte.
Pur-kashish logo'n se Allah milata kyun hai.


SHAYIR:
GHULAM RABBANI FIDA,
Hangal.
Mil ke ek baar woh dobara nahi phir milte.
Pur-kashish logo'n se Allah milata kyun hai.


SHAYIR:
GHULAM RABBANI FIDA,
Hangal.


Mai khud ko dhoondta hun zamane me har taraf.
Jazbaat bhi junoon me mere nikhar gaye.


SHAYIR:
ABDUL SAMAD RAHI,
(Rajasthan)


Mai bhi tha Na-khuda bhi Talatum bhi waqt bhi.
Kaise kahe'n ke kisne safeena dubo diya.


SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.

poetry part 8

Layegi rang kis tarah aakhir khabar nahi..
Shamil Hina me
Qatra-e-khoone jigar nahi..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.


Kuchh is ada se mere saamne woh aaya hai..
Utha tha jo mere dil me ghubaar jata raha.

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
(Bhopal)



Baat toh tab hai ke
zehn-o-dil ke darwaze khule'n..
Sirf aankhe'n kholne ka naam bedari nahi..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)



Teri yaado'n ke gulista'n ko sajane keliye..
Aansuwo'n se mai ne dho dali hain dil ki wadiya'n..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK



Jalta huwa ye dil hai magar aankh nam nahi..
Gham is qadar mile hain ke ab Gham ka Gham nahi..

SHAYIR:
ANWAR KAMAL,
Chennai.



Nazar aate hain ab kaante hi kaante raah me apni.
Hai shayed gaamzan manzil ki janib kaarwa'n apna.

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI



Baap ke ausaaf ki koyi nahi usme jhalak..
Mar gaya jo Baap toh jageer me uljha raha..

SHAYIR:
SYED BHATKALI,
(Karnataka)



Us se pehli hi mulaqaat thi lekin ye laga.
Jaise barso'n se meri us se shanasayi hai.

SHAYIR:
HANEEF SHAH SHABNAM,
Bhatkal.



Woh ranj bhi dete hain Dete hain dilase bhi..
Rakhte hain mohabbat ka andaaz judagana..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Ilm ka noor yaha'n jisne pa liya Sargam..
Uske jeewan me ujale hi ujale honge..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam,
(Bangalore)

poetry part 7

Mazloom apni jaan bac**** toh kis tarah..
Tha chara-gar ke bhais me Qatil chhupa huwa..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnataka)


Lagta hai jaise koyi Ajanta ki hoor hai..
Saawan ke baadalo'n ki bhigoyi huwi hai woh..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.



Jiski khatir mai sabhi rishto'n ko thukrati rahi..
Aaj mehfil me usi ne mujh ko SISTER keh diya..

SHAYIRAH:
ZOYA TASKEEN



Mere baare me ye puchha hai tum ne kaun hun kya hun..
Mai RAHAT hun wahi RAHAT jo har dil ki tamanna hun..

(ILYAS RAHAT)



Yaaro ! Abu Lahab ke muqaddar ki baat thi..
Manzil ke paas reh ke bhi manzil se door tha..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
(Hubli)



Kin manzilo'n me chhod gayi bekhudi mujhe.
Khud mai bhi lag raha hun yaha'n ajnabi mujhe.

SHAYIR:
FAROOQ FARHAT,
Vaniyambadi



Chhoot na jaye zabt ka daman josh-e-junu'n se kaam na Lo.
Ay diwano mat chhalkao is May ko paimano se.

SHAYIR:
USMAN JAUHARI



Najane kaun sa lamha khushi ka dushman ho.
Ghamo'n ke saath bhi jeene ka hausla rakhna.

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
(Shamli)



Woh chand lamho'n ko aaya tha umr bhar keliye.
Ye bolti huwi deeware'n ghar me chhod gaya.

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow

poetry part 6

Haai ! Mere sar se jab se MAA ka saya utth gaya..
Zindagi ki chilchilati dhoop me jalta hun mai..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...


Mujh se kehti hai hamesha waqt-e-rukhsat meri MAA.
Ja tere sar par duawo'n ka meri saya rahe.

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
Bhatkal.


9 Maheeno tak jise rakkha tha apne pet me..
Aaj kone me padi hai MAA usi Bete ke ghar..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..


Jab zamane ko mujhe chhune se ghin hoti thi..
Tu ne us waqt bhi chooma hai meri MAA mujh ko..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)


Usko hi das raha hai kisi naag ki tarah..
Jis MAA ne tujh ko doodh pila kar bada kiya..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.


Dil kisi bhi MAA ka patthar ho nahi sakta kabhi..
Sangdil aulaad lekin ranj deti hai usay..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.


Asr-e-hazir ka bashar bhool gaya MAA ka maqam..
Aaj har shakhs nazar aata hai Biwi ka ghulam..

SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI


Woh kabhi pardes se mayoos lauta hi nahi..
Le ke ghar se jo gaya MAA ki dua pardes me..

SHAYIR:
SABA Darbhangvi,
(Bihar)


Har ek mushkil meri asaan ho jaati hai SHAYISTA..
Mujhe pardes me MAA ki duaaye'n yaad aati hain..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL


Kabhi sar par jo mere pyar se MAA haath rakhti hai..
Mere atraaf mandlati museebat door hat'ti hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN