Saturday, May 15, 2010

urdu poetry part 20

Meri jaa'n ! Dekh kar soorat teri ye sochta hun mai.
Tujhe jis ne banaya woh Khuda kitna hasee'n hoga..
-
SHABNAM Bhatkali.



Tanhayiyo'n me jab bhi tujhe sochti hun mai...
Aankho'n se meri ashk chhalakte hain aaj bhi...

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK



Woh jab bhi milta hai mujh se Gulab deta hai..
Sawal karne se pehle Jawab deta hai..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.



Suku'n usko hargiz nahi mil sakega..
Hansaye jo Biwi ko Maa ko rula kar..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif, Chickballapur.



Mere dil se yaqee'n tera kahein rukhsat na ho jaaye.
Kiye hain anginat waade koyi ek toh wafa kar de.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT



Hai janaze par jama zardaar ke
jamm-e-ghafeer..
Marg-e-muflis par yaha'n aansu bahata kaun hai ???

SHAYIR:
IBN-E-HASAN



Shawoor-e-zabt ne rone diya na ham ko JALAL..
Wagarna khoon ke aansu nikal gaye hote..

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.



Jo na-waqif khud apni zaat se ho..
Woh kya jaane Khuda ki zaat kya hai..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Barsi takli, Akola....



Jinko sanwaarna tha yaha'n gesu-e-chaman.
Baithe hain maikade me woh jaam-o-sabu liye.

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnataka)



Saath tum ne na nibhaya magar haqeeqat me..
Tum khayalo'n me mere saath rahe ho har dam..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.

urdu poetry part 19

Kuchh toh padosiyo'n keliye roshni huwi..
Isme hamara ghar bhi agar jal gaya toh kya..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.



Ek bijli si nigaaho'n me lapak jaati hai..
Saamne aa ke ulat deta hai chilman koyi..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.



Tumhari yaad hi ka ye karishma hai mere hamdam..
Hujoom-e-gham me bhi mujh ko sukoon-e-dil muyassar hai..

(BISMIL Bhatkali)



Ye aur baat kisi ko nahi sunate hain..
Fasane pyar ke yu'n toh hame'n bhi aate hain..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
Shamli...



Apne bachche yaad mujhe aa jaate hain.
Koyi khilona jab bhi dikhata hai mujh ko.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga. (Bihar)



Apne bachche yaad mujhe aa jaate hain.
Koyi khilona jab bhi dikhata hai mujh ko.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga. (Bihar)



Bahadur hai wahi Buzdil nahi RAHAT haqeeqat me..
Husool-e-amn ki khatir jo khanjar phenk deta hai..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT



Tere baghair saada varaq hai faza-e-zeest..
Tujh se hi saari
ronaq-e-bazme hayat hai..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.



Tareekh me rahega sada unka tazkira.
Raah-e-wafa me jaan jo Qurban kar gaye.

SHAYIR:
ABDUL SAMAD RAHI,
Sojatcity (Rajasthan)



Jadu hazaar shokh adawo'n ka be-asar..
Diwana kar gayi ye teri saadgi mujhe..

SHAYIR:
IMRAN ADEEB,
Jhinjhanvi. (U.P.)



Ek mai hi faqat RAAZ gunahgar hun warna.
Har shakhs yaha'n
sahib-e-kirdaar lage hai.

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ
Deobandi. (U.P.)

urdu poetry part 18

Mar gayi ek naujawa'n Ladki musalsal dhoop se..
Aabru rakhti thi woh ye hadisa ghammaz tha..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)



Hamesha soch kar
rakht-e-safar ye baandh leta hun.
Wahi hoga Khuda ne jo muqaddar me likha hoga.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Bhatkal



Chashm-e-purnam chhalak na jaye kahein..
Gham chhupane ka hausala rakhiye..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga. (Bihar)



Chal rahe hain aankh meeche jiske peechhe sab HAYAT..
Rahzano'n ke jamg**** me Rahnuma ye kaun hai ??

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT



Us Maa ke haal-e-zaar ka andaza keejye..
Jis Maa se uska Ladla Beta juda huwa..

SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi. (U.P.)



Ji bhar ke kar raha hai zamane ki gheebate'n.
Goya k murda khor ko murdaar mil gaya.

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur



Dhadke hai ye dil aksar tere Qadmo'n ki ahat par..
Ummeed ka nikla hai ek Chand nigaho'n me..

SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA



Tumhari chaah ne mujrim bana diya ham ko.
Is ek jurm pe ham par na kitne waar chale.

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.



Us ne is andaaz se saghar thamaya tha k mai.
Zehr ko amrit samajh kar pee gaya kal raat ko.

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI,
Bangalore