Friday, July 30, 2010

urdu poetry part 289

Zindagi ab teri yaado'n ke siwa kuchh bhi nahi..
Dil ki tasweer me daagho'n ke siwa kuchh bhi nahi..

SHAYIR:
JALAL MADANI.


Tera roop pur-kashish hai tera husn munfarid hai..
Tujhe jis jaga bhi dekha wahein ruk gaya zamana..

SHAYIR:
JALAL MADANI.



Zeest ke bazar me hai bas usi ka faida..
Karobar-e-ishq me jiska khasara ho gaya..

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi..



Bardasht nahi hoti ye takleef tabeebo..
Kya koyi dawa yaade'n bhulane keliye hai ???

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.



Chandani Chaand se Taaro'n se tabassum lekar.
Kya hasee'n aap ki tasweer bana di ham ne.

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.



Muddat se aarzu hai chale ku-e-yaar me..
Ek umr kat gayi hai isi intzaar me..

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI,
Deoband. (U.P.)



Nawazish ke maze aghyaar lute'n Ishq ham se ho.
Ye rang-e-aazmayish kya Ye tarz-e-imtiha'n kya hai.

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali



Geeto'n kahaniyo'n me jo kuchh padha hai ham ne..
Woh saadgi kaha'n hai ab gaao'n waaliyo'n me..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI.



Muflisi me bhook ne ham se kiya aisa mazaaq..
Daliyo'n ke zard patto'n ko samar kehna
pada...

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA.


Muflisi me bhook ne ham se kiya aisa mazaaq..
Daliyo'n ke zard patto'n ko samar kehna
pada...

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA.



Jis se wabasta hai ajdaad ki azmat ka bharam..
Us Haweli ko jo bechoge toh pachhtawoge..

SHAYIR:
AALAM NIZAMI
Balram puri.

urdu poetry part 288

Mili aasayish-e-dunya usay izzat bhi shohrat bhi..
Sabhi kuchh pa liya phir bhi kami ki baat karta hai..


SHAYIR:
IMRAN ADEEB



Jeene ki justju hai na marne ki aarzu..
Layi hai kis maqaam pe ye zindagi mujhe..


SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi. (U.P.)



Sukoon-e-zindagi haasil usay IMRAN kaise ho..
Musalsal jisko zimmedariya'n awaaz deti hain..


SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi.



Jadu hazaar shokh adawo'n ka be-asar..
Diwana kar gayi ye teri saadgi mujhe..


SHAYIR:
IMRAN ADEEB,
Jhinjhanvi. (U.P.)



Kabhi ana se kabhi muflisi se ladta hai..
Qadam Qadam pe bashar zindagi se ladta hai..


SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi.



Waqt se pehle hi pakk kar ho gayi taiyar fasl..
Media in chhote bachcho'n ko jawani de gaya..


SHAYIRAH:
ANU JASROTIA, (J&K)



Le hi jaati hain usay baandh ke woh aanchal me..
Jis kisi dil pe haseeno'n ki nazar hoti hai..


SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA.



Jab suna mujh se bichhad kar muztarib rehte hain woh.
Daf'atan aankho'n se meri ashk jaari ho gaye.


SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.



Muntazir hun mai sanware huwe zulfe'n apni..
Laut kar aao toh aankho'n me bhi kajal dalu'n..


SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Chandani raat me masoom se bachche ki tarah.
Thaam ke ungliya'n yaado'n ki chala karte hain.


SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU,
Punjab