Tuesday, December 14, 2010

urdu poetry part 367

Ek naghma hun Mohabbat ka nahi mit sakta..
Mai toh har daur me dunya ko sunayi dunga..

SHAYIR:
WASIM MALIK, (Gujarat)


Shikast kha ke Mohabbat me yu'n udaas na ho..
Ye Haar Jeet se behtar hai Haarne waale..

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR.



Ab siwa tere dikhayi nahi deta kuchh bhi..
Dil ko kis mod pe le aayi Mohabbat teri..

SHAYIRAH:
ANU JASROTIA,
Kathua. (J&



Woh ranj bhi dete hain Dete hain dilase bhi..
Rakhte hain Mohabbat ka andaaz judagana..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT (U.P.)



Chhupta hai chhupane se kab raaz Mohabbat ka..
Khushbu toh udi hogi jab phool khila hoga..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.