Friday, October 8, 2010

urdu poetry part 349

Please co-operate with us by persuading ur dear ones to activate GHAZAL4U

For activation:
sms
START GHAZAL4U
to
09223050606

Tere bichhadne ka dil ko koyi malaal nahi.
Tu Sukh ka saathi tha Dukh me guzaarta kaise.

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)

Rishte nahi thay goya gharonde thay raith ke..
Haasid ne jinko round ke mismaar kar diya..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH...

Gham mila toh kya gham hai sabr kar
dil-e-nada'n..
Sabr ka sila insaa'n dair se hi paata hai.

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
Deobandi.

Agar mil kar na bichhde'n pyar karne ka maza kya hai.
Wahi bimar rehti hain jo aankhe'n nam nahi hoti.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT.

Paiso'n ke masiwa unhe aayega kya nazar..
Aankho'n pe jinki bandh gayi'n daulat ki pattiya'n..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

Ghurbat ka ye aalam hai ke dhanwaan ke hatho'n..
Mazdoor ka bikta huwa tan dekh raha hun..

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.

Aur phir jaise ko taisa ek masal mash'hoor hai..
Aap bhi waise kaha'n thay Ham agar aise na thay..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI.

Keh kar gaye thay laawunga mai surkh pairhan..
Laute woh itni dair se dena pada kafan..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.

If you wish to enjoy Ghazals of your favourite
GHAZAL4U'S Poets,
You are requested to
visit www.ghazal4you.blogspot.com

urdu poetry part 348

Lu sukhane me lagi hai par usay maloom kya..
Meri aankho'n me jo paani hai woh barsaati nahi..

SHAYIR:
MASROOR TABISH.

Ab us se dam-e-rukhsat milne se bhi kya haasil.
Jab uski rafaqat se ab door hi jana hai.

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)

Gham diye Aansu diye aur Dard ka naghma diya.
Zindagi tu ne mujhe kis dor me uljha diya.

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
(Shamli)

Ham jaante hain tujh ko hai ruswayiyo'n ka khauf..
Aaja ke ab toh raat ke gesu bikhar gaye..

SHAYIR:
NAYEEM AKHTAR
Deobandi.

Tum bhi aa jaao hamara haal tum bhi dekh lo..
Badliya'n aa kar hamare haal-e-dil par ro gayi'n..

SHAYIRAH:
ANU JASROTIA.

Bura padosi agar hai toh ghar ko kyun badle'n..
Ham uska zehn badalne ki baat karte hain..

SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.