Wednesday, August 11, 2010

urdu poetry part 301

Prophet (pbuh) said:
"Whoever does not intend to fast before dawn, there is no fast for him."

(Narrated by al-Tirmidhi,730)


Allah said:
"Fasting is for Me & I will reward for it.
He gives up his desire & his food & drink for My sake". (Bukhari)



Prophet (pbuh) said:
He who fasts Ramazan,due to Iman & hoping for reward (from Allah)then his past sins r forgiven. (Muslim)


The smell that comes from the mouth of a fasting person is better than the scent of musk in the sight of Allah.
(Muslim)



HADEES:
Prophet (pbuh) said:
If any Muslim comes out of Ramazan without gaining forgiveness & goodness, he is a real loser.


Bhooka rehna hi faqat Rozah nahi IBN-E-HASAN..
Maqsad-e-rozah jo hai woh nafs ki tat'heer hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali



RAMAZAN aa ke yu'n toh guzarta hai har baras.. Izzat kare jo iski maheena usi ka hai..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



GHAZAL4U wishes all of you "HAPPY RAMAZAN"

May Allah pardon all our sins & fill our hearts with the zeal of imaan & His love



Rozah umoor-e-deen me afzal hai isliye..
RAHAT kahein bhi isme Riya ka dakhal nahi..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Us se badh kar is jaha'n me kaun hoga
Bad-naseeb.
Maah-e-ramaza'n pa ke bhi jiski na bakshish ho saki.

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI.

urdu poetry part 300

Is tarha pyar milta hai dunya me aaj kal..
Jaise kisi ko dhoop me shabnam naseeb ho..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.




Har taraf se mujh pe hamle ho rahe hain aaj kal.
Jaane mai kab ho gaya SADDAM tere pyar me.

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore


Mai teri khoj me aawarah phira karta hun.
Din me Bhaunre ki tarah
Raat me Jugnu ki tarah.

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.



Ek shikasta khwab ki tabeer mere paas hai..
Teri dhundlayi huwi tasweer mere paas hai..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.



Hoti hai bewafayi kaha'n har kisi ke saath..
Kehta kaha'n hai ishq me har aadami GHAZAL..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.


 Unki khushi ke waaste Ham ne khushi ke saath..
Jo aashna thay unko bhi aghyaar keh diya..

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI...



Hamare dosto'n me koyi dushman ho bhi sakta hai..
Ye angrezi dawaye'n hain Reaction ho bhi sakta hai..

SHAYIR:
HASEEB SOZ.



Shayed mujhe naseeb hai meraaj-e-aashiqi..
Hanste hain log mera garebaan dekh kar..

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES,
(Bhatkal)



Kuchh toh khud-daar hi aise ke kisi se na bani..
Kuchh hame'n teri mohabbat ne bhi tanha rakkha..

SHAYIR:
MASROOR TABISH.