Saturday, June 5, 2010

urdu poetry part 240

Kisi ko ghar mila hisse me ya koyi duka'n aayi.
Mai ghar me sab se chhota tha mere hisse me MAA aayi.

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA



Mujhe achchha nahi lagta khud apna aks bhi ab toh.
Zara tehre agar pani toh kankar phenk deta hun..

SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI.



Woh jo aaya toh bahaare'n bhi chali aayi hain..
Mehki mehki hai saher shaam suhani aayi..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.



Mushkile'n aaye'n toh Tinke nahi Chattan bano..
Warna tufaan me ek roz bikhar jawoge..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Rifa-e-aam hai paani ise bhi bech khatay hain..
Unhe bhi bech dete jo agar saanso'n pe bas chalta..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH