Khushi se sab pe lutaate hain pyar ki daulat..
Ghareeb log bhi kitne ameer hote hain..
SHAYIR:
WASIM RAJUPURI, (U.P.)
Ye dunya hai yaha'n ma'ni badal jaate hain rishto'n ke..
Yaha'n jo shakhs Apna hai woh Gaddari bhi karta hai..
(WASIM MALIK)
Najane kaun kya majburiya'n le kar chala aaye.
Kabhi bhi tum
Sulook-e-naarwa karna na Sayil se.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
Har taraf yu'n toh sharafat ke hain charche lekin..
Tere kirdaar ka sheesha tera Hamsaya hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT. (U.P.)
Prophet (pbuh) said:
A man is really good if his neighbors regard him as such, and bad if they consider him so.
(Ibn Majah)
MAA Hamesha ham se kehti hai ke rona mat kabhi..
Usko tanhayi me lekin ghamzada dekha kiye..
SHAYIR:
HAMSAFAR Kumtavi.
Alfaaz ke na teer chalaao kisi pe SAIF..
Khanjar na pher de koyi tum par Lughaat ka..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF...
Uske kirdaar ka me'yaar alag hota hai..
Jis me aati ho Buzurgo'n ke chalan ki khushbu..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
Saath koyi de na de par
kaam achchhe hi karo..
Kar bhala toh ho bhala
mat kar bura hoga bura..
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH.
Ye kaise mod par aayi hai leke zindagi ham ko..
Ke ab jalwa-e-gul titli ke par achchhe nahi lagte..
SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU.