Ye toh achchha huwa saanso'n pe nahi bas uska..
Warna dunya mujhe zinda nahi rehne deti..
SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
Balrampur.
Mai ne bachcho'n ko laga rakkha hai baato'n me abhi..
Kaash jaldi se guzar jaaye khilone wala..
SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun.
Ye toh achchha huwa saanso'n pe nahi bas uska..
Warna dunya mujhe zinda nahi rehne deti..
SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
Balrampur.
Kaha'n dilo'n me khushi Har taraf udasi hai.
Ye gham Yazeed sa hai zeest Karbala si hai.
SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI,
Vaniyambadi.
Jo aurat zaat ki di se badi ta'zeem karta hai..
Nigaah-e-bad se uski bhi Bahen mahfooz rehti hai..
SHAYIR:
WASIM RAJUPURI.
Ho na jaaye'n aap ki ruswayiya'n ye soch kar..
Sabt ki hai
mohr-e-khamoshi Labo'n par aaj bhi..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
Ameer-e-shehr ke maghroor sar phire bete..
Shareef logo'n ka jeena haram karte hain..
SHAYIR:
JAVED AASI,
Rajupur. (U.P.)
Badal leta hai raste ko magar chalta hi jaata hai.
Jo ruk jaye kisi patthar se dhara ho nahi sakta.
SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU.
Imarat khokhli buniyad par Qayim nahi rehti.
Na ho ikhlaas toh phir Dosti ka kya bharosa hai.
SHAYIR:
WASIM MALIK,
(Gujarat)
Bheek de deta toh kyun jaan ke laale padte..
Jisko samjha tha Bhikari woh Qalandar nikla..
SHAYIR:
RASHID RAJUPURI. (U.P.)