Wednesday, September 1, 2010

urdu poetry part 322

Muflisi kitni khatarnak hai tum kya jaano..
Ye salamat koyi rishta nahi rehne deti..

SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
(Balrampur)





Ghareebi lakh thi tahzeeb ka daman nahi chhoda.
Kabhi Beti Bahu ko ham ne nange sar nahi Rakkha.

SHAYIR:
RASHID RAJUPURI.





Ab naya ta'meer kar JAVED koyi aasma'n..
Is purani chhat me toh bachcho'n ke sar lagne lage..

SHAYIR:
JAVED AASI. (U.P.)





Chahe kisi Khajoor ke sadqe se kyun na ho..
Apna bachao kar lo jahannam ki aag se..

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES,
(Bhatkal)





"Whoever stands in(Prayer) in Lailat-ul-Qadr out of Imaan & seeking reward then his previous sins are forgiven."
(Bukhari)



Tumhe gar zinda rehna hai toh rakkho azm fauladi.
Tasadum ho agar patthar se sheesha toot jaata hai.

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.








Khuda tujhe bhi kahein apne dar se taal na de..
Ay apne dar se sawali ko taalne waale..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)



Waqif nahi jo
jazba-e-ta'meer-o-amal
se..
Karte hain wahi
gardish-e-halaat ka matam..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.





Door tak woh Qafilo'n ki rehbari karta raha.
Ek diya jo teergi me timtimaya dair tak.

SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI.
(Karnataka)





Prophet (pbuh) Used to perform aitikaf in the last 10 days of Ramazan until Allah the Mighty & Majestic, took him.
(Bukhari)