Aqeedat ho toh maange se siwa milta hai bande ko..
Aqeedat ke bina sar ko jhuka kar kuchh nahi milta..
(SHAMEEM KIRATPURI)
Choom kar jisko tu aankho'n se laga leta hai..
Kaash woh khat bhi samajh me teri aaya hota..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)
Jaha'n maru'n mai wahein mujh ko dafn kar dena..
Mai apni jeb me ghar ka pata nahi rakhta..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI.
Ji toh chahe hai bulandi ki hade'n chhune ko.
Muflisi raah me diwaar bani baithi hai.
SHAYIR:
RASHID RAJUPURI, (Saharanpur)
Muhammad
(Sallallahu alaihi wasallam) said:
"Whoever fulfills the needs of his Brother,Allah fulfills his needs". (BUKHARI)
Usko khud-daari ka kya paath padhaya jaye..
Bheek ko jisne puraskaar samajh rakkha hai..
SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)
Kaun kya karta raha hai
zikr iska kyun kare'n..
Baat is par ho ke ham ne
ab talak kya kya kiya..
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH.
Thaam kar daman mera woh Aaj rota hai ANEES..
Jisne meri raah me bas khaar hi boya kiye..
SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES.
Janazo'n ki Namazo'n me hai shirkat isliye Lazim..
Hame'n bhi zindagi ki shaam ka ehsaas ho jaaye..
Dr. Virottama Sargam.
SHAKEEB Aap ne sajde toh kar liye gin kar..
Khuda ke lutf-o-karam ka bhi kuchh shumar toh ho..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB.