Wednesday, November 3, 2010

urdu poetry part 362

 Mai ne suna hai usko bhi Beti huwi hai aaj..
Jo jism Aurato'n ke sada nochta raha..

SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR,
(Bangalor



Iflaas ne chheeni hai masoom hansi warna..
Bachcho'n ko kisi gham ka ehsaas nahi hota..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, (Bihar)



Unka Qusoor ye tha ke Mabaap thay ghareeb..
Bachcho'n ko kaat'te rahe machchhar tamaam raat..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.





Phir khilono'n ki duka'n par pad gayi uski nazar..
Le ke mazdoori ke sikke jab woh ghar jaane laga..

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI.





Nau Maheeno tak jise rakkha tha apne pet me..
Aaj kone me padi hai MAA usi Bete ke ghar..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.



Jala rahe ho hamari Beti jalao lekin ye yaad rakkho.
Tumhari Beti bhi ek na ek din kisi ke ghar ki Bahu banegi.


MAHTAB AAZAD



Biwi ke dil me ab teri izzat kaha'n rahi..
Tu ne jahez maang ke sab kuchh ganwa diya..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.