Tuesday, July 13, 2010

urdu poetry part 274

Kharaash kaanto'n ki lekar chaman se laute hain..
Nazara karne chale thay jo log phoolo'n ka..


SHAYIR:
AHMED NAZEER...



Likh likh ke khat uda diye ham aasman par..
Paigham Baab-e-yaar pe pahoncha gayi hawa..


SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.



Hasrat-e-deed meri aur badhi aur badhi..
Pyaas ko usne badhawa diya parda kar ke..


SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi...



Rashk aata hai taraqqi pe meri sab ko magar..
Jaanta koyi nahi kitna paseena nikla..


SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.



Hansi ko bech ke aansu khareed laate thay..
Tamaam umr yahi karobaar ham ne kiya..


SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.



TAHIR na puchh uski nigaho'n ki saahiri..
Nazro'n se meri mera hi didaar kar gaya..


SHAYIR:
TAHIR MALIK,
Rampur Maniharan.



Hame'n achchha nahi lagta hai yu'n rona magar Hamdam.
Tumhari yaad aati hai toh aankhe'n bheeg jaati hain.


(SHEHNAZ GHAZAL)



Khair ho Ya'allah mohabbat walo'n ki..
Chhat par meri zakhmi kabutar aaya hai..


SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari. (U.P.)



Woh Netha kya bhala denge Ghareebo'n keliye Roti..
Ghareebo'n ke niwalo'n se jo apna pet bharte hain..


SHAYIR:
ILYAS AFAQUE



Dil ke har tareek goshe me ujala ho gaya...
Jab tasauwur me tumhe Ay Hamsafar laya kiye...


SHAYIR:
HAMSAFAR Kumtavi...














urdu poetry part 273

Qatil kabhi Dushman kabhi Dildaar lage hai..
Kya janiye kya mujh ko mera yaar lage hai..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi.


Jugnu bhi dekhte hain Haqarat se ab usay..
Tara jo gir gaya tha kabhi aasman se..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ, Deobandi (U.P.)



Aur kuchh deejiye tohfatan pyar me..
Aap ka gham toh aansu baha le gaye..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi,
Saharanpur. (U.P.)



Mai chup raha ye soch ke apnau ke darmiya'n..
Sab bolne Lagenge toh ghar toot jayega..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi..



Thokar lagi toh usko zamee'n yaad aa gayi..
Baate'n jo kar raha tha bahut asmaan se..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi. (U.P.)



Mai band aankho'n se padhta hun roz woh chehra.
Jo shayiri ki suhani kitab jaisa hai.

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
(Punjab)



Jis pe ehsaan karo saamne aata hai wahi..
Ab toh ehsaan bhi karte huwe dar lagta hai..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI,
(U.P.)



Unhi ki aabru nilaam hote ham ne dekhi hai.. Jo auro'n ki Bahu Beti ko bazari samajhte hain..

SHAYIR:
MASR00R TABISH.



Sad-shukr k taqdeer ne ye din bhi dikhaya.
Aaye hain woh milne mujhe Bimaar samajh kar.

SHAYIRAH:
ANU JASROTIA,
Kathua (J&K)



Ham tum agar mile'n toh mukammal ho zindagi..
Khushiya'n tumhare paas hain Gham mere paas hai..

SHAYIR:
ABDULLAH RAHI