Woh din bhi kya thay Mohabbat me choor thay ham tum..
Jaha'n me reh ke zamane se door thay ham tum..
(RAFFATH ASIFI)
Na dete dil na bharte dam Mohabbat ka kabhi REHBAR.
Agar ye jaante unki Mohabbat chaar din ki hai.
RAJENDAR NATH REHBAR
Ab kar ke Mohabbat ham is raaz ko samjhe hain..
Ye pyar haqeeqat me neendo'n ka lutera hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT. (U.P.)
Tujhe chaha hai jab se har nazar hairat se takti hai.
Mohabbat me teri mai ho gaya ruswa zamane me.
(AYUB BAIG DANISH)
Dil hai mera tumhari Mohabbat ka aashiya'n.
Rakkha hai isme tum ko chhupa kar jahaan se.
SHAYIRAH:
RESHMA TALAT SHABNAM.
Ajeeb lutf hai SARGAM gham-e-mohabbat me..
Ye dard woh hai bahut kam naseeb hota hai..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.
Mohabbat kar ke ruswayi se darna bhi hai ruswayi..
Mohabbat ka hamesha dahr me charcha bhi hota hai..
(FAIYAZ SHAKEEB)
Har Qadam par Thokare'n Nakamiya'n Ruswayiya'n..
Kya Mohabbat karne walo'n ka yahi anjaam hai ???
SHAYIR:
SYED BHATKALI.
Ghayib kaha'n Lughat se Mohabbat ki ho gaya..
Aata nahi nazar kahein lafz-e-wafa mujhe..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Dekhte hain woh Mohabbat ki nazar se lekin..
Sab ki masoom nazar ho ye zaroori toh nahi..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
(Kolkata)