Saturday, August 21, 2010

urdu poetry part 311

Parinde shaakh-e-dil par phir na Khwabo'n ke kabhi utre.
Lage dekhe unhone jab Haqeeqat ke samar us par.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN



Mera Bachpan jiski aaghosh-e-mohabbat me pala..
Hai aqeedat aaj bhi us pyari basti se mujhe..

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR.



Sadko'n pe tha toh lagti thi kitni hi thokare'n.
Manzil mujhe mili toh meri Qadr badh gayi.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI. (Bihar)



Dunya uda rahi thi hamara mazaq jab..
Ham bhi khade thay dekhne waalo'n ki bheed me..

SHAYIR:
WASIM MALIK, Surat.
(Gujarat)



Kisi ke saamne jhukta nahi hai woh jis ko.. Khuda ke saamne aadat ho sar jhukane ki..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi.



Jisne taqseem kiya ek hi ghar me ham ko..
Apne aangan se woh diwaar giraye'n kaise..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.



Samaan yekja keejye raah-e-najaat ka..
Ramazan phir se aaye na aaye hayaat me..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI,
Saharanpur. (U.P.)



Sehraao'n ke saraab hain ye laut aayiye..
Aankho'n me bhool kar bhi na sapne sajayiye..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.



Kab talak khanjar chhuboyega tu meri pusht par..
Aa ke mere saamne ek din mere lehje me bol..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI...



Tishnagi me kabhi darya ko jo chhuna chaha..
Karbala walo'n ki surat nazar aayi mujh ko..

SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
(Balrampur)