Wednesday, July 28, 2010

urdu poetry part 287

Waqt-e-rukhsat toh kaha hans kar Khuda hafiz magar..
Sabr ka jab band toota door ja kar ro pade..


SHAYIR:
ILYAS RAHAT.



Laazim hai tum pe isliye parde ka ehtimam..
Sab se Haseen cheez ho tum kayinaat ki..


SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Bechain kar diya usay bachcho'n ki bhook ne..
Iflaas me buzurgo'n ki dastaar bech di..


SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Beti ka haath maangne aaya tha kal koyi..
Soya na ek ghareeb khushi se tamaam raat..


SHAYIR:
ILYAS RAHAT Muzzafar nagari..



Mai jis sawal ki jur'at na kar saka us se..
Woh meri mez pe uska jawab chhod gaya..


SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Paigham kyun na aaya us shakhs ka abhi tak..
Bichhda tha mujh se kal jo hamraah chalte chalte..


SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.



Daulat ne MAA ka doodh bhi taqseem kar diya.
Darwaze band Bhayi pe Bhayi ke ho gaye.


SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Imam Bara. (Budaun)



Tumhare naam ki koyi lakeer ho shayed..
Mai kab se dekh raha hun Hatheliya'n apni..


SHAYIR:
WASIM MALIK,
Surat. (Gujarat)



Tak rahe honge meri raah badi shiddat se..
Ho gayi shaam abhi laut ke jana hoga...


SHAYIR
SHAAD JAMAYI,
Bhatkal. (Karnataka)



Bahut achchhe muqarrir ho nahi saani tumhara ha'n..
Tareeqa toh batate ho amal kar ke dikha dijye..


SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH