Pachta rahe hain Kaanch ko Heera samajh ke ham.
Naada'n tha dil jo pyar kiya bewafa k saath.
SHAYIR:
NAYEEM AKHTAR.
Aashiq mizaaj tha toh kisi ne na dil diya..
Sanjeedgi pe ab meri marne lage hain log..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Yarab tu uske dil me mera pyar daal de..
Ya mere dil se uski mohabbat nikaal de..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
(Karnataka)
Khud tumhari hi nazar tum ko na lag jaye kahein.
Ban sanwar kar aayine ke saamne mat jayiye.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Kaat di umr tujhe soch ke tanhayi me..
Tujh se bichhda toh kisi se bhi mulaqaat na ki..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI, (U.P.)
Kitne andesho'n ne ham ko das liya tha dosto..
Jab hawa ne khidkiyo'n ko khatkhataya dair tak..
SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI.
Jab woh Dushman tha koyi khauf nahi tha mujh ko.
Uske badle huwe jazbaat se dar lagta hai.
SHAYIRAH:
URMILA URMI
(Gujarat)
Hamsafar ham jinko ek muddat talak maana kiye..
Saath chalne se hamare woh hi katraya kiye..
SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.
Pachta rahe hain Kaanch ko Heera samajh ke ham.
Naada'n tha dil jo pyar kiya bewafa k saath.
SHAYIR:
NAYEEM AKHTAR.
Aashiq mizaaj tha toh kisi ne na dil diya..
Sanjeedgi pe ab meri marne lage hain log..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Samjha tha jisko dost wahi de gaya dagha..
Aisa Khuda kare na kabhi ho kisi ke saath..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.
Tumhare bin adhori har khushi hai mere jeevan ki.
Khuda ne kaash tum ko meri Qismat me likha hota.
SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU
Woh dekh kar mujhe kuch is ada se sharmaye.
Lachak gayi ho koyi shaakh jaise phoolo'n ki.
SHAYIR:
Dr. Tahir Malik Deewana.