Haweliyo'n me toh sab kuchh hai dosto lekin..
Kaha'n sukoon milega ghareeb khane ka ???
SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore.
Woh kya karega tabsira mere makan par.
Baqi hai jiske sar pe kiraya makan ka.
SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Shanthinagar, Mysore
Hawadisaat ko tarteeb de ke rakh du'n agar..
Gham-e-hayat mukammal kitab ho jaaye..
SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore...
Ashraaf ki zamane me pagdi uchhal gayi..
Aur bad-nihaad
Saheb-e-kirdaar ho gaye..
SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore...
Zulfo'n ko jhatak dena diwane ki maiyet par..
Bas itni tamanna hai mehkega kafan barso'n..
SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore.
Please co-operate with us by persuading ur dear ones to activate GHAZAL4U
For activation:
sms
START GHAZAL4U
to
575758
Jis baat ko kehne se ma'zoor hain Lab tere..
Mai ne teri aankho'n me woh baat bhi padh li hai..
SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR
Tadapta hai lekin
aseer-e-mohabbat..
Teri Qaid se kab riha chahta hai..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Chamundi nagar.
(Bangalore)
Beete dino'n ki yaad badi dard-naak thi..
Mai pee raha tha dard ke saghar tamaam raat..
SHAYIR:
ROUNAQ AAZAMI,
Chennai.
Khoob aata hai khata kar ke saza se bachna..
Rab ko bhi log mana lete hain sajda kar ke..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.