Kal jo daulat ke takabbur me thay Sayil se khafa..
Aaj Kaasa liye bazar tak aa pahonche hain..
SHAYIR:
SAIF DEOBANDI. (U.P.)
Zindagi hai dar-haqeeqat aazmayish keliye.
Har Qadam par aadami ka imtiha'n hai dosto.
SHAYIR:
BISMIL BHATKALI,
(Karnataka)
Phal phool khatm hote hi har ek shaakh se..
Panchhi tamaam ud gaye tanha raha shajar..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
(Hubli)
Whenever a Muslim supplicates for his(Muslim) brother in his absence, the angels say: May the same be for you too.
(Muslim)
For the promotion and upliftment of
URDU POETRY
Please co-operate with us by persuading your
dear ones to activate GHAZAL4U.
Jin ke Lahu se hoti hai kheti Kapaas ki..
Unke yaha'n hai aaj bhi Qillat Libaas ki..
SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)
Mujhe hi ranj nahi SHAMS beghari ka meri..
Usay bhi dukh hai bahut mujh ko ku-ba-ku kar ke..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI. (U.P.)
Apne sajdo'n me bhi dunya ka hi rehta hai khayal..
Apni berooh ibadat pe hi maghroor hain ham..
SHAYIR:
ZIA KARNATAKI.
Rakhna hai laazimi tumhe'n apni zuba'n ka paas..
Wa'da karo jo SAIF toh usko nibhayiye..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
HADEES:
Prophet Muhammad (pbuh) said:
"Look for Lailat-ul-Qadr in the odd nights of the last ten days of Ramazan."
(Bukhari)