Sitam karne se pehle soch lo Biwi pe tum apni,
Agar Damaad bhi tumsa hi mil jaye to kya hoga?
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
Dukhtar-e-hawwa lage parde me mujh ko is tarah..
Seepiyo'n ke darmiya'n hota hai moti jis tarah..
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI.
Karta hai abas sang pe tahreer isay tu.
Ay dost ! Tera naam toh paani pe likha hai.
SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
Pathanko
Bheek se Bhook ko har haal me behtar samjha..
Mai agar khud ko badalta toh badal sakta tha..
SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun.
Ye taghaiyur hai siyasi Inqilab-e-haq nahi..
Jo tha kal tak Beerbal woh Akbar-e-aazam hai aaj..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB.