Wednesday, September 22, 2010

urdu poetry part 342

Ye bewafayi ka uski asar hai Ay ZAIBA..
Ke ab toh neend bhi chubhti hai intizaar ke saath..

SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA.





Us bad-naseeb Baap ki majbooriya'n na poochh..
Khushiya'n khareedta hai jo ghar-baar bech kar..

SHAYIR:
AALAM NIZAMI.





Andhero'n ke bhanwar me doobne waali hi thi mai toh.
Ke tinka chandani ka aise me pakda gaya koyi.

SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU.





Koyi us Buth ko mana laaye ke usne ham se..
Umr bhar baat na karne ki Qasam khayi hai..

SHAYIR:
MASROOR TABISH,
(Rajupur)





Teri aabru ki kahtir mai tamaam khoon de du'n.
Meri aarzu hai tujh pe kabhi aanch tak na aaye.

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi





Dekhte hain woh mohabbat ki nazar se lekin..
Sab ki masoom nazar ho ye zaroori toh nahi..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
(Kolkata)





Khushbu woh aaj tak na gayi mere haath se.
Daman bhi chhut gaya tera Aanchal bhi kho gaya.

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow





Ab kar ke mohabbat ham is raaz ko samjhe hain..
Ye pyar haqeeqat me neendo'n ka lutera hai..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT. (U.P.)



Ud ke pahoncha sab ke sar maathe pe woh.
Kal talak jo raaste ki dhool tha.

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
Pathankot. (Punjab)





Ab kisi takleef ka ehsaas hota hi nahi..
Meri fitrat zulm seh lene ki khugar ho gayi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...