Sunday, June 20, 2010

urdu poetry part 254

Mai Ladakpan me jinko pakad ke chala..
Ho gayi hain bahut mohtaram ungliya'n..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
(Karnataka)



AAZAD choomti hai bulandi mere Qadam..
WALID ke pyar MAA ki dua ka asar hai ye..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi. (U.P.)


Ummat ke waaste jo Nabi ki dua me hai.
Hota hai BAAP ki bhi dua me asar wahi.

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
Chickballapur.


MAA ka jo ehtiraam hai
Qayim rahe magar.
Haq ye bhi hai k BAAP se pehchan hai meri.

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur



Tamaam umr salamat rahe dua hai yahi..
Hamare sar pe hain jo haath barkato'n waale..

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA,
(Kolkata)