Sunday, October 10, 2010

urdu poetry part 351

Ab nikalna hi padega in andhero'n se HAYAT..
Teergi ki bastiyo'n me roshani ki baat kar..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.





Museebat sar pe aati hai toh himmat toot jaati hai..
Kalayi sooni ho jaye toh Aurat toot jaati hai..

SHAYIR:
SABA DARBHANGVI





Ameer-e-shehr ke maghroor sar phire bete..
Shareef logo'n ka jeena haram karte hain..

SHAYIR:
JAVED AASI,
Rajupur. (U.P.)





Ham unki sunte rahe maslahat thi kuchh aisi..
Jo ham bhi kehte toh chehre utar gaye hote..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
(Kolkata)





Ay bewafa ye paas-e-wafa ka karishma hai..
Zinda jo aaj tak hun tere intizaar me..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)





Dunya ki nazr-e-bad se bachaye Khuda tujhe..
Sab ki yahi dua hai tujhe dekhne ke baad..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam, (Hubli)





Ameer-e-shehr ke maghroor sar phire bete..
Shareef logo'n ka jeena **** karte hain..

SHAYIR:
JAVED AASI,
Rajupur. (U.P.)





Kisi din bu-e-gul paigham ye ja kar suna usko.
Kiya karta hai yaad aksar koyi subh-o-masa usko.

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR





Ham haadise se bach gaye baithe thay Dhoop me..
Saaye me jo thay un pe hi diwaar gir gayi..

SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.





Pairo'n tale gagan ko hairat se tak raha tha..
Dar'asl mai hi yaaro ulta latak raha tha..

SHAYIR:
SYED HUSAIN AFZAL.