Kaat di umr tujhe soch ke tanhayi me..
Tujh se bichhda toh kisi se bhi mulaqaat na ki..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI, (U.P.)
Shab ki tareeki me tujh ko dekhne ke waaste..
Jugnuwo'n ke saamne daman ko phailana pada..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, (Bihar)
Tadapta chhod kar mujh ko chale toh ja rahe ho par.
Judayi ka ye gham tumko bhi reh reh kar satayega.
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
Baitha hun ishtiyaq-e-ziyarat liye huwe..
Chehre se tum naqaab hatawo toh baat hai..
SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES,
(Bhatkal)
Sheer-o-shakar ki tarha thay Ham ab ye kya huwa.
Kyun puchhta nahi hai Padosi mizaaj tak.
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI.
Ramanagram
Hame'n watan se ghareebi ne door rakkha hai..
Ham apne shehr me hote toh ghar gaye hote..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
(Kolkata)
Jaam me shamil kahein zehr-e-hilahil toh nahi..
Aaj Saaqi ne mujhe hi kyun pilaya dair tak..
SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI.
Shareefo'n ka guzara kaise hoga ahd-e-hazir me..
Zalalat sar uthaye toh sharafat toot jaati hai..
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI.
Zakhmi bhi ho ke zakhm na aaye kamaal ke..
Us ne nazar ke teer chalaye kamaal ke..
SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA, Shamli. (U.P.)