Riwayet se jo apne aap ko rakhte hain wabasta..
Nazar me ahl-e-jiddat ke woh Daqiyanoos hote hain..
SHAYIR:
MAHB00B RAHI.
Jeet kar bhi haar di hai aap ne nafrat ki jang.
Haar kar bhi ham ne baazi pyar ki haari nahi.
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)
Aaj hain sad-haif woh auro'n ke
mohtaj-e-karam.
Ek jaha'n par muddato'n jinke karam hote rahe.
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)
Baat toh tab hai ke
zehn-o-dil ke darwaze khule'n..
Sirf aankhe'n kholne ka naam bedari nahi..
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)
Zulmat-e-yaas me ashko'n ke liye jugnu ham.
Apni palko'n ki mundeero'n pe sajate hain charagh.
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)
Ham ne kirdaar ko kapdo'n ki tarah pehna hai..
Tum ne kapdo'n hi ko kirdaar samajh rakkha hai..
SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun.
Ho'n door fikr-o-fahm ki kotahiya'n tamaam..
Paida ho khoon me ye hararat kisi tarah..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Jo hain Footpath pe mazdoor gehri neend sote hain..
Magar sone nahi deti ye daulat ki farawani..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM.
Raakh maazi ki kuredoge toh kya pawoge..
Koyi chingari dabi hogi toh jal jawoge..
SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
Balram Puri...
Tum ne bhi Ham ko kisi roz kiya tha ruswa..
Ab ho Badnam-e-zamana toh shikayet kaisi..
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
(BHATKAL)