Saturday, May 15, 2010

urdu poetry part 18

Mar gayi ek naujawa'n Ladki musalsal dhoop se..
Aabru rakhti thi woh ye hadisa ghammaz tha..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)



Hamesha soch kar
rakht-e-safar ye baandh leta hun.
Wahi hoga Khuda ne jo muqaddar me likha hoga.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Bhatkal



Chashm-e-purnam chhalak na jaye kahein..
Gham chhupane ka hausala rakhiye..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga. (Bihar)



Chal rahe hain aankh meeche jiske peechhe sab HAYAT..
Rahzano'n ke jamg**** me Rahnuma ye kaun hai ??

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT



Us Maa ke haal-e-zaar ka andaza keejye..
Jis Maa se uska Ladla Beta juda huwa..

SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi. (U.P.)



Ji bhar ke kar raha hai zamane ki gheebate'n.
Goya k murda khor ko murdaar mil gaya.

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur



Dhadke hai ye dil aksar tere Qadmo'n ki ahat par..
Ummeed ka nikla hai ek Chand nigaho'n me..

SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA



Tumhari chaah ne mujrim bana diya ham ko.
Is ek jurm pe ham par na kitne waar chale.

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.



Us ne is andaaz se saghar thamaya tha k mai.
Zehr ko amrit samajh kar pee gaya kal raat ko.

SHAYIR:
ZIA KARNATAKI,
Bangalore

No comments: