Thursday, May 27, 2010

urd poetry part 156

Muskurahat apne honto par saja kar dosto..
Zakhm-e-dil dunya ki nazro se chhupa leta hun mai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal..







Koyi shikwa na kiya daad-e-jafa di mai ne..
Zabt-e-girya ki qasam tum ko dua di mai ne..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.







Mujassam saamne aa kar kabhi jalwa dikha jana.
Tasauwur me sarapa aap ka toh umr bhar dekha.

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore







Lamhe gham-e-furqat ke guzarte hi nahi hain..
Jo zakhm diye tu ne woh bharte hi nahi hain..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...







Ho kar juda mai tum se kabhi jee na paunga..
Achha hai ab jo maut ki mujh ko saza mile..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har.







Har kisi par kar ke koyi mehrbani chhod de..
Khud guzar ja aur peechhe koyi saani chhod de..

SHAYIR:
DANISH Chickaballapur.







Apni si koshish karta hai ab woh tumsa dikhne ki.
CHAND mere ! chaha bhi usne tumsa na ban paya CHAND.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT





Kitni Eide'n guzar gayi tum bin,
Ab khuda keliye na tadpana..
Dekho phir EID aane wali hai,
EID ke saath TUM bhi aa jana..







Ek ek kar ke rafeeq-o-yaar sab rukhsat huwe..
Jo bhi pyara tha mujhe Allah ko pyara huwa..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore







Tujhe haadiso ka hai ranj kyun A to hausalo ka hai imtiha'n.
Kabhi zindagi k nasheb me Kabhi zindagi k faraz me.

ILYAS RAHAT

No comments: