Saturday, May 22, 2010

urdu poetry part 92

Tera saya na ho sar par toh ham 2 din me mar jaye'n.
Tera dar chhoot jaye toh kaha'n jaye'n kidhar jaye'n.
-
JAWWAD HASAN



Khwab me mai ne kisi dulhan ko dekha hai
HAYAT..
Baj rahi hain jaise mere har taraf shehnayiya'n..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT







Kisi aur par meri jaan mera dil fida nahi hai..
Mere dil me tu hi tu hai koyi doosra nahi hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali







Buzdil nahi toh kya mai usay sorma kahu'n.
Biwi pe apni zulm jo dhata hai umr bhar.

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA, Katihar, Bihar





Hamsafar ban kar chale hum door tak halaanke ab..
Ajnabi lagne lage hain jaane pehchane huwe..
-
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.





Likkhu'n mai uss pe sher toh aisa ho mojiza.
Kaghaz pe mujh ko uska hi chehra dikhayi de.

SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI,
Vaniyambadi







Auraaq ye tamaam jalayenge bin padhe..
Andho ke haath me na yun dil ki kitab de..

SHAYIR:
Ramachandra
"RAJ PREMI"
Bangalore.







Itna hai bas khulasa shayir ki zindagi ka..
Aashiq hai Husn ka woh Khushbu ka Chandni ka..

SHAYIR:
Dr. Fitrat bhatkali.







Zindagi ki ye haqeeqat hai bichhad kar tujhse.
Jaise raste me pada ho koyi patthar tanha.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar







Is Qadar rootth gaya hai mera hamdam mujh se..
Ab mujhe usko manane se bhi dar lagta hai..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam

No comments: