Wednesday, May 12, 2010

urdu poetry part 1


Mujh ko ye sikhaya hai meri MAA ne azal se..
Izzat ka Khandhar achchha hai zillat ke Mahal se..

SHAYIR:
SHAMEEM Kiratpuri.

Pyar se haath MAA ne jo sar par rakha..
Ban gayi phir Khuda ka karam ungliya'n..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore....

Zindagi bhar bhi teri khidmat agar karta rahu'n..
Haq ada khidmat ka phir bhi ho nahi sakta hai MAA..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN

Bete sahen me kheench ke deewaar so gaye..
MAA unki so saki na tadap kar tamaam raat..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.

Saare safar me MAA ki dua saath saath thi..
Mai door hi raha hun har ek iztirab se..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.

Mai bhula sakta nahi mamta bhari aaghosh ko..
MAA ka saya hi Khuda firdous me dena mujhe..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH...

MAA ki duaye'n saath rahi uske har jaga..
TALIB kisi Qadam pe akela nahi raha..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga. (Bihar)

Sar pe jis ke MAA ka saya hoga SURAJ woh kabhi..
Ranjish-o-aalaam se hargiz nahi ghabrayega..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki.

Kitne bad-surat hi bachche kyun na ho
IBN-E-HASAN.
MAA ko lagte hain magar wo Chaand Taaro'n se hasee'n.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN

Ek Qatra hai faqat MAA ka ek aansu lekin..
Saari khushiyo'n ko dubo dega agar tapkega..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.

No comments: