Thursday, June 3, 2010

urdu poetry part 238

Ladakpan me kiye wade ki Qeemat kuchh nahi hoti..
Anghoti haath me rehti hai mangni toot jaati hai..

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA




Ham unki yaad ko karte hai tazah is tarah har dam.
Saja kar roz ham tebal (TABLE) pe ek guldaan rakhte hain.

(ZIA KARNATAKI)





FARHAT kisi ki yaad me yu'n jee raha hun mai..
Jaise na ho hayat se wabastagi mujhe..

SHAYIR:
FAROOQ FARHAT,
Vaniyambadi.







Raag hota tu agar mai teri Sargam hoti.
Saari dunya hame'n ek saath hi gaya karti.

SHAYIRAH:
Dr.Virottama Sargam,
Bangalore.







Tamaam umr guzari thi jin gunaaho'n me.
Bawaqt-e-naz'aa woh manzar phire nigaaho'n me.

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali,
(Karnataka)







Mayoosiyo'n ka jab bhi andhera sa chha gaya..
Ummeed ke charagh ko ham ne jala diya..

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.







Shaheen hun mai Mera basera hai shaakh par..
Raas aayega bhala kaha'n sheeshe ka ghar mujhe..

SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR.







Ham
kashmakash-e-zeest
se aayenge nahi tang..
Kyun ham ko darati hai tu Ay gardish-e-daura'n..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.







Un mast nigaaho'n ke isharo'n ko samajhna.
Mushkil bhi nahi tha koyi aasa'n bhi nahi tha.

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.









Lagta toh hai yu'n uski nazar hai meri janib..
Dar'asl Khuda jaane kaha'n dekh raha hai..

SHAYIR:
SYED BHATKALI,
(Karnataka)

No comments: