Sunday, June 6, 2010

urdu poetry part 242

Zindagi hai dar-haqeeqat aazmayish keliye.
Har Qadam par aadami ka imtiha'n hai dosto.

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI,
(Karnataka)



Allah mere mujh ko na aisa mizaaj de..
Jisko khud apne zulm ka ehsaas bhi na ho..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam,
Bangalore.



Samjha na tu Labo pe mere kis ki pyas hai..
Mai ne toh ye suna tha Tu chehra shanaas hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.



Ham toh raahi hain safar tehra muqaddar apna..
Leke jayegi jaha'n
raah-guzar jayenge..

SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA,
Nibahera.



Bhej de tu des me pariyo'n ke Lori se mujhe..
Ay muqaddas MAA sula de ek thapki se mujhe..

SHAYIR:
RAJENDRANATH REHBAR



Haal-e-dil saari fazawo'n ko batane keliye.
Budhe bargad pe tera naam ham likh aaye hain.

SHAYIR:
JALAL MEHMOODI,
(Karnatak)



Isliye ilzaam dete hain hame'n ahl-e-jaha'n.
Haq ko Haq Nahaq ko Nahaq barmala kehte rahe.

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi



Har lafz lafz mehkega uske labo'n ke saath..
Tanhayiyo'n me jab woh Ghazal gungunayega..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.



Zaroorat roz hijrat keliye aawaz deti hai..
Mohabbat chhod kar Hindusta'n jaane nahi deti..

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA,
Kolkata.



Be-asar mujh par huwa hai dushmano'n ka zehr tak.
Mujhko lambi umr ki MAA ne dua di thi kabhi.

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD
Deobandi

No comments: