Saturday, June 12, 2010

urdu poetry part 245

Yu'n toh mai lut'ta raha tadbeer ke haatho'n magar..
Zindagi bhar besabab taqdeer ka shikwah kiya..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI





Tumhare hijr me aisi kayi raate'n bhi guzri hain..
Jab apne aansuwo'n se khud ujala kar liya mai ne..

SHAYIR:
MUNAWWAR RANA.





Kisi kamzarf ke aage na apne haath phailana..
Jatata hi rahega tum pe woh ehsaan rozana..

SHAYIR:
MUSHARRAF HUSAIN,
Aligarh.



Maangna hai toh utha haath Khuda ke aage..
Chhadte sooraj se bulandi ki dua mat maango..

SHAYIR:
IQBAL AKRAM WARISI.
(U.P.)





Hamare khoon ke hote karo na fikr-e-hina..
Abhi toh husn ka sadqa kaha'n nikala hai..

SHAYIR:
SHAIKH HABEEB, Bangalore..





Hosh kehta hai nahi ishq ki manzil koyi.
Showq kehta hai liye zakhm-e-jigar jayenge.

SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA,
Nibahera.





Dila ke aas ujalo'n ki teergi baanti.
Jo dushmani bhi ki tum ne toh dosti ki tarah..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.





Bala se laakh ho jaye bura is ahd ka BETA.
Magar dil me kabhi MAA ke mohabbat kam nahi hoti.

SHAYIR:
SABA DARBHANGVI,
Bihar.





Ana ko naam de dete hain jo khud-aitimadi ka.
Woh mit jaate hain lekin unki man-mani nahi jaati.

SHAYIR:
WAJAHAT HUSAIN KHAN



Hai jaam-e-sukhan asl me aagahi ka saghar.
Kehte hain jise shayiri hikmat hai sarasar.

SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI,
(Karnataka)

No comments: