Saturday, June 19, 2010

urdu poetry part 253

Woh tifl toh jeete ji Marhoom rahe honge.
Jo BAAP ki shafqat se Mahroom rahe honge.

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
(Punjab)


Mat kar kharab apni ye dunya-O-aaqibat..
Kar kar ke bewafayi wafadar BAAP se..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari...


Bhala woh kaise utarega BAAP ka Qarza..
Jo ek waqt ki roti bhi de nahi sakta..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga. (Bihar)



Unke hi kirdaar ka hai aks meri zaat par..
Mujh ko khuddari mili hai BAAP se miraas me..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..



WISH YOU HAPPAY
"FATHER'S DAY"

May Allah give us guidance to
serve & be obedient to our Fathers and bless them with health.


Pesh aayega tu jaise BAAP se IBN-E-HASAN..
Tere bachche bhi karenge tujh se waisa hi sulook..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.



Garcha WALID tere Boodhe sahi Kamzor sahi..
Phir bhi kitna hai sahara tujhe unka SARGAM..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.


Be-shak hai Maa ki god bhi khaslat ka madrasa...
Kirdaar ka magar tere me'maar BAAP hai..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.



Khuda ka shukr hai sar par mere WALID ka saya hai.
Mai unki chhao'n me rehta hun mera sayiba'n hain woh.

(SHABNAM Bhatkali)



Mujh ko mile hain
azmat-o-dastaar BAAP se..
MAA se mila hai sabr toh kirdaar BAAP se..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.

No comments: