Friday, June 25, 2010

urdu poetry part 258

Jo sharm-o-haya izzat tahzeeb ki surat hai..
Har BAAP ko aisi hi Beti ki zarurat hai..

SHAYIR:
NAYEEM AKHTAR
Deobandi.



WALID se shikayet hai jinhe'n MAA se gila hai..
Zillat ke siwa dahr me kya unko mila hai..

SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI...



WALID se shikayet hai jinhe'n MAA se gila hai..
Zillat ke siwa dahr me kya unko mila hai..

SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI...



Jo sharm-o-haya izzat tahzeeb ki surat hai..
Har BAAP ko aisi hi Beti ki zarurat hai..

SHAYIR:
NAYEEM AKHTAR
Deobandi.



BAAP toh bojh uthata hai bhala kya deta..
Isliye Beti kunwari hai abhi tak uski..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Haran bari. (Kolkata)



Kabhi usne bhi apne BAAP ko shayed sataya tha..
Usay aulaad ab uski bahut yaaro sataati hai..

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI.



Afsos uski shaakh pe patte bhi nahi hain..
Lekin shajar mila tha samar-daar BAAP se.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Karta rahe jo BAAP ki azmat ko taar taar..
Mahroom hoga khud bhi woh aulaad-e-nek se..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.



Kaise batawu'n dosto!
Hai kitna kush-naseeb..
Jiski hayat guzri hai WALID ke saaye me..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
(Shamli)



Ghayel kiya hai BAAP ko khanjar ke waar se..
Nasl-e-jadeed ke zara atwaar dekhiye..

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA,
KATIHAR (Bihar)

No comments: