Friday, July 23, 2010

urdu poetry part 283

Tere Labo pe mera naam toh nahi lekin..
Teri Nazar ko mera intzaar hai ke nahi..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.



Tu kisi ko kuchh bhi de Malik mere marzi teri..
Par dil-e-hamdard ko har dard ki pehchan de..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD.



Lab tere misre hain aise Sher ke..
Jo Ghazal me sab se pyara ho gaya..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.
(Karnataka)


Ishq ki raah me dil par jo lage hain charke..
Ghair mumkin hai ke is dard ka darma'n hona..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD.


Ye ada rooh ko taskeen diye jaati hai..
Qatl ke baad mere uska pashema'n hona..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.


Meri bebasi mere karb ko na samajh sakoge fasadiyo.
Ke maka'n tumhara fasad me mere ghar ki tarha jala nahi.

BISMIL BHATKALI



Zamana aur hai ab sirf Beti tak nahi mahdood..
Jawa'n Beta bhi ab Mabaap ki neende'n udata hai..

SHAYIR:
WASIM Rajupuri.



Nazre'n utha ke dekh le ek baar is taraf.
Aankho'n me meri ab nahi tere siwa koyi.

SHAYIR:
Dr. Tahir Malik,
Rampur Maniharan



Ay zindagi tu sab ko nihayet azeez hai..
Mumkin nahi hai tujh se baghawat kisi tarah..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.



Usi waadi me phir se laut jaye'n hai yahi dil me..
Milan ke geet Charwaha jaha'n Bansi pe gaata hai..

SHAYIRAH:
ANU JASROTIA

No comments: