Tuesday, July 27, 2010

urdu poetry part 286

Yu'n toh jeene ke liye jeeti ha dunya rang rang..
Jo tere dar par guzar jaaye wahi hai zindagi..

SHAYIR:
MASROOR TABISH.


Khuda ke haath sab kuchh hai na ghabra imtihano'n se.
Duaaye'n kar duawo'n me badi taseer hoti hai.

SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU.



Maut ek haqeeqat hai jaante huwe bhi ham..
Aarzuwe'n rakhte hain zindagi se wabasta..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA.
(Shamli)



Shabab-o-husn ke hangame chaar roza hain..
Karo gunaah se tauba ke umr dhalti hai..

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI,
(Karnataka)



Ye raat woh hai ke jis me Muhasaba hoga..
Zara tu apne Amal ka bhi jayizah le le..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
(Karnataka)



Teri rahmat ki barish jab zamee'n par hone lagti hai..
Pade bejaan tukhmo'n me bhi jeevan laut aata hai..

(SHAMEEM HAYAT)



ARSHAD badal hi jayega naqsha hayat ka.
Padhte raho
Kitab-e-hidayet kisi tarah.

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
Chickballapur



Khata huwi hai toh phir uske dar pe sajda kar..
Ke woh Raheem khataye'n muaaf karta hai..

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR.



Khuda ne zindagi de kar hame'n ek raah batla di..
Talashe'n ham wahi rasta hamari zimmedari hai..
-
Dr. Virottama Sargam.



Do chaar waqt chahe toh faaqo'n pe taal de.
Lekin mere Khuda mujhe rozi Halaal de.

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI.
Saharanpur (U.P.)

No comments: